ZEHRAA KI BETI SHAAM KAA DARBAAR YAA ALI
AALE RASUL KUCHA-O BAAZAAR YAA ALI
BHAAI JO CHALBASAA HAI TO BEHNAA UDAAS HAI
JIVAN NIRAAS HOGAYAA MAN BE-HAWAAS HAI
AASHAAEN MIT CHUKI KISE JINE KI AAS HAI
BHAAI KI MOVT DARD-E DIL AAZAAR YAA ALI
ABBAAS JAB TALAK THE THAA ZAINAB KO ITMINAAN
KHAALIQ KE BAAD BHAAI KAA THAA EK NIGEHBAAN
BE-AAS HO GAYI JO GIRAA FOVJ KAA NISHAAN
AB KYAA HO CHALBASE JO ALAMDAAR YAA ALI
AABID KO TAP MEN TOVK-O SALAASIL PIN-HAATE HAI
SEHRAA MEN BAADIYON MEN SITAMGAR PHIRAATE HAI
BEDI KE BOJH-SE JUNHI PAG LAD-KHADAATE HAI
BE-SAAKHTAA PUKAARE HAI BIMAAR YAA ALI
MUSHKIL KUSHAA KI BETI KAA BAAZU RASAN MEN HAI
EK THAR-THARI SI BAALI SAKINAA KE TAN MEN HAI
NEZE PE SAR HUSEIN KAA RANJ-O MAHAN MEN HAI
KHINCHE MUHAAR AABID-E BIMAAR YAA ALI
WOH QAID-KHAANAA OR WOH BHAYAANAK ANDHERI RAIN
JAG KE SATAAE MAN KE DUKHAAE NA PAAE CHAIN
NAINON MEN PHIR RAHI HAI FAQAT SURATE HUSEIN
IN BEKASON KAA THAA WOH MADADGAAR YAA ALI
JAMGATH TAMAASHAAYI-ON KAA ZAINAB HO NANGE SAR
DEKHAA GAYAA NA KAAMPE HAI SAR NOVKE NEZE PAR
PALTAANE APNE SIMT SITAMGAARON KI NAZAR
QURAAN PADE HAI SAYYADE ABRAAR YAA ALI
UNTON KI NANGI PUSHT PE EHLE HARAM SAWAAR
BACHCHE ZAMEEN PE GIRTE HAI REH REH KE BAAR BAAR
MAA-ON KE DILKO PHIR BHI HAI SABR-O SUKOON KARAAR
ZAINAB HAI CHUNKE QAAFELAA SAALAAR YAA ALI
FARZAND HAI SHAHEEDI TUMHAARE SHAHEED KAA
MUSHTAAQ HAI ZARIH-E MUQADDAS KI DEED KAA
JITAA HAI BAS SAHAARAA LIYE IS UMMEED KAA
BIGDI BANAADO MAALIK-O MUKHTAAR YAA ALI