DUNIYAA SE NIRAALAA HAI JAFAA KAA YE QARINAA
DUSHMAN BHI KA-RE GHOUR TO DUSHWAAR HO JINAA
KUCHH AISI HI SHIDDAT THI ASEERON PE JAFAA THI
HAAE MAR-KE BHI NA ZINDAAN SE NIKAL PAAI SAKINAA
KEHTITHI SAKINAA KE NA RULWAAI-YE BAABAA
LILLAAH JAHAAN BHI HO CHA-LE AAI-YE-BAABAA
ZINDAAN KE ANDHE-RE MEN GUTI JAATI HAI SAANSE
IS QAI-DE BALAA SE HAMEN CHHUD-WAAI-YE BAABAA
KEH-TE THE SAKINAA SE HAMEN PYAAR BOHOT HAI
KYAA PYAAR IS-E KEH-TE HAI BATLAAI-YE BAABAA
YAA MUJH KO SADAA DI-JE KE MAI KHUD HI CHALI AAWUN
YAA AAP HI ZINDAAN MEN CHA-LE AAI-YE BAABAA
ZAKHMI HAI LAVEN ME-RE GAVHAR CHHINE GAYE HAI
MUM-KIN HO TO WAAPAAS UN-HE DILWAA-IYE BAABAA
MAA BEHNON PE PHUPHIYON PE BURAA WAQT PADAA HAI
ZINDAAN SE KISI TAR-HA NIKAL WAAI-YE BAABAA
SHAAYAD ISI SURAT SE KUCHH AMMAA KO QARAAR AAYE
JULAA ALI ASGHER KAA DILAA JAAI-YE BAABAA
ASGHER KI JUDAAI MEN BOHOT ROTI HAI MAADAR
AB AAP HI AAKAR IN-HE SAMJHAAI-YE BAABAA
IZZAT YEHI KEH KEH KE QAZAA KAR GAYI BACHCHI
AAJAAI-YE AMMU ME-RE AAJAAI-YE BAABAA