MASHK BHAR KAR SU-E KHAIMAA JO ALAMDAAR CHA-LE
ROK-NE KE LIYE RAS-TE SITAM ATWAAR CHALE
YE BA-SURAT JO UD-HAA-TE HUWE RAAHWAAR CHA-LE
TEER BAR-SAA-TE HUWE LAAKH SITAM-GAAR CHA-LE
AB LA-DEN YAA ALAM-O MASHK SAMBHAA-LE ABBAAS
BAAG LE GO-DE KI YAA TEER NIKAA-LE ABBAAS
DIL MEN KEH-TE HAI KE YAA HAIDA-RE SAFDAR AAJAO
BACHCHI MAR-JAAE-GI MASHKIZAA KO TEER0N SE BACHAAO
KABHI FARMAA-TE HAI AI SHAAMIYO YE QEHR NA DHAAO
SAR MERAA KAAT LO PAR MASHK KO NAAVAK NA LAGAAO
QATL KE BAAD BHI ABBAAS KO IZAA DENAA
PAR SAKINAA KI AMAANAT U-SE POHNCHAA DENAA
THE ISSI TARHA SU-E KHAIMA-E SHABBIR RAWAAN
YAK BA YAK CHASHM-E MUBAARAK MEN GIRAA EK PAIKAAN
TEER KHAAKAR ABHI SAMBH-LAA BHI NA THAA SHE-RE ZHIYAA
NAA-GA-HAAN MASHK CHHIDI SAR-PE LAGAA GUR-ZE GARAAN
KHUN BEHTAA RAHAA JAB TAK TO NA ZINHAAR GI-RE
BEH GAYAA AAB TO RE-TI PE ALAMDAAR GI-RE
MUNH SE BE SAAKHTAA NIK-LI YE GHAM ANGEZ SADAA
AS-SALAAM AI JIGAR-O JAA-NE BATUL-E UZRAA
AS-SALAAM AI PISAR-E BAAD-SHA-HE UQDAA KUSHAA
AS-SALAAM AI SAMA-RE BAAGH-E RASU-LE DOSARAA
CHHOD KAR SAYYA-DE WAALAA KE QADAM JAA-TE HAI
AB SAKINAA-SE KHABAR DAAR KE HAM JAA-TE HAI
YE SADAA SUN-TE HI MAWLAA NE JIGAR KO THAAMAA
ZO-A-FE PIRI NE SHA-HE JINN-O BASHAR KO THAAMAA
GASH JO AAYAA ALI-AKBER NE PIDAR KO THAAMAA
DARD NE UTH KE MUSAAFIR Kl KAMAR KO THAAMAA
RO-KE FARMAAYAA AKHI TUM BHI MUJ-HE CHHOD CHA-LE
HAAE PARDES MEN BEKAS Kl KAMAR TOD CHA-LE
NAVHAA-E WAA ASAFAA PAD-H TE HUWE SHAA-HE UMAM
LAASH PAR POHN-CHE TO YE DEKHAA AJAB MANZA-RE GHAM
BAL NA CHEH-RE PE NA MAATHE PE HAI AASAA-RE ALAM
EK TARAF MASHK-E SAKINAA HAI TO EK SIMT ALAM
SHAAN PAR DEKH-NE WAALON KO GUMAAN HOTAA HAI
GAAT RO-KE HUWE BE KHOVF-ZADAA SOTAA HAI
AI ME-RE QUWWA-TE BAAZU ME-RE BAABAA KE NISHAAN
ABHI ZINDAA HO KE JANNAT MEN GAYE BHAAI JAAN
SUN-KE YE HOSH JO AAYAA TO KAHAA MAI QURBAAN
AB-DE NAACHIZ KI TASLIM IMAA-ME DO JAHAAN
NEHR PAR AA-NE Kl TAKLIF JO FARMAAYI HAI
AAP KE SAATH SAKINAA TO NAHIN AAYI HAI
BO-LE SHABBIR WOH DEVDI PE KHA-DI ROTI HAI
AAP Kl YAAD MEN BE-TAAB HAI JAAN KHOTI HAI
DAM BA DAM PYAAS KI IZAA JO SIWAA HOTI HAI
NEHR KO TAK-Tl HAI AUR ASHKON SE MUNH DHOTI HAI
BO-LE ABBAAS KE KHAADIM PE TARAS KHAAI-YE GAA
AB MERI LAASH KO KHAIME MEN NA LEJAAI-YE GAA
TEER AANKHON SE JUDAA KAR KE BASAD AAHO BUKAA
KHUN CHEH-RE KAA MUHAMMAD Kl QABAA SE PONCHHAA
NAA-GA-HAAN SHER Kl AANKHON PE NAZAR Kl TO KHULAA
KOI SADMAA HAI KE RO-TE HAI KAHAA BHAAI YE KYAA
KYAA YATIMON KE LlYE MAH-WE FALAQ HOTE HO
BHAAI AABAAS KAHO TO TUM KYUN R0-TE HO
ARZ Kl AUR HI KUCHH FIKR HAI Al AB-RE KARAM
APNE BACHCHON KAA NA KUCHH DHYAAN NA SADMAA NA ALAM
BAS AGAR HAI TO GHAME SAYYAD-E MAZLUM KAA GHAM
WAQT-E AAKHIR KAA MUJ-HE DHYAAN HAI Al SHAA-HE UMAM
MAR-TE DAM BHI TO WOH SADMAA TADPAA-TAA HAI
KIS TARAH ARZ KARUN MUNH KO JIGAR AATAA HAI