ROROKE KEHTI JAATI THI YE BINTE FAATEMAA
KAISE KAHUN KE BHAAI MERAA GHAR UJADGAYAA
TUMKO SUNAANE AAYI HUN KISSAA YE DARD KAA
TUM JISKE PAASBAAN THE WOH PARDAA NAHIN RAHAA
BHAYYAA MERI RIDAA - BHAYYAA MERIRIDAA
DEKHO TUMHAARI LAASH PE HAMSHIR AAYI HAI
MAI NANGE SAR HUN AI MERE BHAYYAA DUHAAI HAI
NAA MEHRAMON KI BHID HAI AUR ZEHRAA JAAI HAI
MAI BERIDAA HUN CHAAR TARAF BAANI-E JAFAA
ABBAAS SAA DILER DILAAWAR NAHIN RAHAA
QAASIM NAHIN RAHAA ALI AKBAR NAHIN RAHAA
KOI BHI AB MUHAAFIZE CHAADAR NAHIN RAHAA
BHAYYAA HAMEN TO RAAS NA AAYI YE KARBALAA
AMMAA KE SARSE SARKI THI CHAADAR JO EK BAAR
SURAJ NE GHAM SE APNI QABAA KI THI TAAJDAAR
WOH WAQT KYAA THAA SONCH KE ROTI HUN ZAAR ZAAR
KAISAA HAMAARAA AAJ MUQADDAR BIGAD GAYAA
BAALON SE MUNH CHHUPAAUN KE YE RISMAAN KE DAAGH
BHAYYAA MERI HAYAAT KAA BUJNE KO HAI CHIRAAGH
BAADE KHIZAA KI ZAT PE HAI MERI HAYAA KAA BAAGH
KISKO SUNAAUN KOVN SUNEGAA TERE SIWAA
BAABAA KI BAAT AAJ MUJHE YAAD AAYI HAI
MERAA NASEEB AAJ JO YE BE - RIDAAI HAI
MAI KEHTITHI KE GHAAZI SAA MERAA JO BHAAI HAI
CHHINE RIDAA MERI KOI KISME HAI HONSLAA
JAANAA HAI NANGE SAR MUJHE DARBAARE AAM MEN
SONCHO TO KAISE JAAUNGI BAAZAARE SHAAM MEN
ZINDAA NA REH SAKUNGI MAI USS AJDAHAAM MEN
JIS SHEHR MEN HAMAARAA KISI WAQT RAAJ THAA
BHAYYAA BAHAN KO TERI QAZAA KYUN NA AAGAYI
KARBAL KI YE ZAMEEN MUJHE KYUN NA KHAAGAYI
YE TO NA HOTAA SHAAM TALAK BERIDAA GAYI
AAJAAYE MOVT LAB PE YEHI HAI MERI DUAA
RAIHAAN KARBALAA KI ZAMEEN ASHKBAAR THI
AALE RASOOL DASHT ME JAB SOGWAAR THI
ZAINAB KI SHEH KE LAASHE PE HAR DAM PUKAAR THI
BHAYYAA MERI TARAF SE TUN MUNH PHER LE ZARAA