TAARIKH NE LIKHAA HAI KUCHH AISE WAAQEAA
JAB HO CHUKI SHAHAADATE SULTAANE KARBALAA
KHAIMEN JAL-E ASIR HUI AALE MUSTAFAA
PAAKAR RIHAAI QAIDSE AAYAA JO QAAFILAA
ARZE MADINAA HILNE LAGI SHORO SHAINSE
HAR FARD NAALAA ZAN THAA BICHHADKAR HUSEINSE
UMMUL BANIN NE BHI SUNAA NAALA-O-BUKAA
BAAZU PAKAD KE POTE KAA TASHWISH SE KAHAA
Al MERE LAAL DEKHO TO YE MAAJRAA HAI KYAA
SAR KAT GAYAA HAI DASHT MEN YE KIS HUSEIN KAA
SUGHRAANE SUN LIYAA TO GHAZAB HOGAA MERE LAAL
PEHLE HI SAARE KUNBE Kl FURQAT MEN HAI NIDHAAL
THEHRO KE APNE SAATH MEN DAADIKO LE CHALO
MAI SADQE JAAUN JALDISE LAAKAR ASAA TO DO
HAMBHI CHALENGE SAATH MEN LO HAATH THAAM LO
KYAA HO GAYAA HAI SUNKE YE AAWAAZ QALBKO
BECHAINI EK AJIBSI QALBO JIGAR MEN HAI
ZEHRAA KAA LAAL JAANE MUHAMMAD SAFAR MEN HAI
NIKLI JO GARSE AUR HI MANZAR NAZAR PAD-HAA
EK SHAKHS DE RAHAA HAl SADAA WAA MUSIBATAA
SHAALE AZAA GAL-E MEN HAI AUR SAR HAI PIT-TAA
EHLE MADINAA HALQAA KIYE KARTE HAI BUKAA
JAA KAR QARIB PUCHHAA KAHAANSE TUN AAYAA HAI
KISKI SUNAANI SHEHRE MADINAA MEN LAAYAA HAI
BOLAA BASHIR QATL HUWAA DIN KAA TAAJ DAAR
SEHRAA MEN QATL HO GAE SAB UNKE JAAN NISAAR
BALWE MEN NANGE SAR GAI ZAINAB SI ZI-WIQAAR
SAJJAAD QARIYAA QARIYAA GAE THAAM KAR MIHAAR
KYAA KEHNA EHLE BAIT PE IZAA GUZAR GAI
EK BACHCHI QAIDE SHAAM MEN ROROKE CHALBASI
BOLI BANIN KARTAA HAI Al SHEKH KYAA BAYAAN
ITNI JAFAA GUZAR GAI ABBAAS THAA KAHAAN
HAR HUKM PE JO AAQAA KE QURBAAN THAA YAHAAN
JAA KAR WAHAAN TUJHE Al MERE LAAL KYAA HUWAA
ABBAAS TUN-E KYAA KIYAA AAQAA KO CHHODKAR
MAAKO KHAJIL ALI SE KIYAA MUNH KO MODKAR
KEHNE LAGAA BASHIR KE BIBI YE KYAA KAHAA
ABBAAS JAISAA HOGAA JAHAAN MEN NA BAA-WAFAA
AAQAASE VOH TO IZNE WIGHAA MAANGTAA RAHAA
LAI KIN HUSEIN DETE NA THE JANG Kl RAZAA
TALWAAR LELI SHER SE JAANE BATULNE
PHIR PAANI LAANEKO KAHAA SIBTE RASULNE
LEKAR ALAMO MASHK VOH SHERE NAR CHALAA
DARIYAAPE PONHCHAA PAANISE MASHKIZE KO BHARAA
KHAIMEN Kl SIMT AATAA THAA SHAANE HUWE JUDAA
DAANTONSE THAAME MASHKO ALAM BADTAAHI RAHAA
TIRONSE MASHK CHHALNI HUWAA AAB BEH GAYAA
GHAAZI KAA PHIR NA KHAIMEN Kl JAANIB QADAM BAD-HAA
PAANI KAA BEHNAA MASHK SE BIBI GHAZAB HUWAA
KHAIMEN Kl RAAH CHHODKE DARIYAA KAA RUKH KIYAA
KUCHH DOOR HI CHALAA THAA BIRAADAR HUSEIN KAA
EK GURZ SARPE HAZRATE ABBAAS KE LAGAA
BAAZU NA THE SAMBHAL TE JO GODE Kl ZINPAR
KYUN KAR KAHUN KE KAISE GIRE THE ZAMIN PAR
KARTA BASHIR AUR BAYAAN AAGE WAAQEAA
AANE LAGI BAQI-ESE ZEHRAAKI YE SADAA
DONON JAHAAN ME AISAA HUWAA HAI NA HOEGAA
ABBAAS MERAA BETAA HAI VOH PAIKARE WAFAA
JAISE HASAN HUSEIN HAI YAKTAA ZAMAANE MEN
AISAA HI YE BHI LAAL HAI MERE KHAZAANE MEN
EHLE WATAN NE JAB SUNI ZEHRAAKI YE FUGHAAN
KHURDO KALAANKI BANDH GAI RIQQATSE HINCHKIYAAN
MAALUM HO RAHAA THAA KE MEHSHAR HU WAA AYAAN
HAALE BANIN KYAA HUWAA KAISE KARUN BAYAAN
ROTI THI YUN BAQIEMEN JAA KAR JIGAR FIGHAAR
SUNKAR ANIS HI NAHIN DUSHMAN THE ASHQBAAR