KUNBEKI JUDAAI PE THI GIRYAAN KUNA ZAINAB
TAA UMR NAHIN BHULI MAQTAL KA SAMAA ZAINAB
GHURBAT PE TERI ABTAK ROTA HAI JAHAAN ZAINAB
ZEHRA KE GULISTAAN MEN DEKHI HAI KHIZAAN ZAINAB
DEKHI ALI AKBER KE SINE MEN SINA ZAINAB
HAR LAMHAA JAFAAON KA KARTI THI BAYAAN ZAINAB
TAA UMR NAHIN BHULJ MAQTAL KA SAMAA ZAINAB
MAQTAL MEN BIRAADER KA KAT-TE HUWE SAR DEKHA
PARDES MEN JANGAL MEN JALTE HUWE GHAR DEKHA
CHHIN TE HUWE CHAADAR KO LUT-TA HUWA GHAR DEKHA
AAGHOSH MEN SHOLONKI BHAAI KA PISAR DEKHA
TAA UMR NAHIN BHULI MAQTAL KA SAMAA ZAINAB
JALTE HUWE KHAIMEN MEN SAJJAAD KE DAR AAYI
JALTI HUWI CHOBONSE THOKAR BHI KAHIN KHAAYI
KUCHH KHOVF NAHIN KHAAYAA NA AAGSE GABHRAAYI
BEHONSH BHATIJE KO JALNE SE BACHAA LAAYI
TAA UMR NAHIN BHULI MAQTAL KA SAMAA ZAINAB
ZAINAB PE ADU-O NE KYAA ZULMO JAFAA TODA
GABHRAAKE JAFAAONE KHUD AAP HI MUNH MODA
JALTI HUWI RETI PE SAIDAANIONKO CHHODA
OR MOVT KE SEHRAA KA ZAINAB NE ASAR TODA
TAA UMR NAHIN BHULI MAQTAL KA SAMAA ZAINAB
ISS KHUNI BAYAA-BAA MEN KYA TERGI HAI CHHAAI
JALNE SE KHAYAAMONKE HAI PEHLE HI GABHRAAYI
SAATHI BHI HUWE MURDAA HAI AALAME TANHAAI
ABBAAS SAKINA TO DARIYAA PE NAHIN AAYI
TAA UMR NAHIN BHULI MAQTAL KA SAMAA ZAINAB
JAB BAAZU-E SARWAR KA KOI NA JAWAAB AAYA
KULSUM KA ZAINAB KA DIL AUR HI GABHRAAYA
FURQAT MEN SAKINA KI KHUN AANKHO SE BARSAAYA
PHIR MAQTAL-E SARWAR KA RUKH KARKE YE FARMAAYA
TAA UMR NAHIN BHULI MAQTAL KA SAMAA ZAINAB
AAWAAZ DO MAAJAAE KYA PAAS SAKINA HAI
YE WAQT BOHOT MUSHKIL Al SHAAHE MADINA HAI
GUM SHAAME GHARIBAAN SE MAZLOOM HAZINA HAI
KYA DOOBNE KO RAN MEN BAANUKA SAFINA HAI
TAA UMR NAHIN BHULI MAQTAL KA SAMAA ZAINAB
ISS RAAT MEN ZAINAB PER KYA AALAME GHURBAT HAI
YE SHAB HAI SHAB-E GIRYAAN ZAINAB Kl NAYAABAT HAI
ISS SHAB MEN KARO NAUHAA JO AALSE ULFAT HAI
SOTA HAI ANIS KYUN KAR ISS RAAT QAYAAMAT HAI
TAA UMR NAHIN BHULI MAQTAL KA SAMAA ZAINAB