BAAZAAR KE MANZAR KO AUR APNE KHULE SAR KO
BHULI NAHI MAI
APNE BHANDE HAATHON KO BIMAAR KE ZEWAR KO
BHULI NAHIN MAI
UTH-TI HUWI AANDHI KO WEHSHAT KO BAYAABAAN KO
CHHUPTE HUWE SURAJ KO TAARIKI KO MAIDAAN KO
CHALTE HUWE KHANJAR KO NEZE PE TERE SAR KO
BHULI NAHIN MAI
EK CHAAND THAA BADLI ME CHHUPTAA THAA NIKALTAA THAA
PARDAA DARE KHAIMAA KAA UTH-TAA KABHI GIRTAA THAA
WOH KHAIMAE LAILAA SE HAAE RUKHSATE AKBAR KO
BHULI NAHIN MAI
YAAD AATAA HAI FARWAA KO, GHASH KIS TARHAA AAETHE
EK GATRI SHAHE WAALAA JAB KAANDHO PE LAAYE THE
US LAASH KI GATRI KO US KHUN BHARI CHAADAR
BHULI NAHIN MAI
LEHRAATE HUWE NEZAA HAR SHIMR KAA WO BARHNAA
AA AAKE MERE PICHHE HAR BIBI KAA WO CHHUPNAA
SHOLON ME GIRE GHAR KO CHHINTI HUWI CHAADAR KO
BHULI NAHIN MAI
YAAD AATAA HAI EK MAA KAA WOH KHAAK ME DANS JAANAA
AUR AAG KE SHOLON MEN WOH MAA KAA JULAS JAANAA
JALTE HUWE JULE SE LIPTI HUWI MAADAR KO
BHULI NAHIN MAI
MASOOM SAKINA KO BARHTE HUWE NEZON KO
SUJE HUWE GAALON KO BE REHM TAMAACHON KO
FAKHMI HUWE KAANON KO KHICHTE HUWE GAUHAR KO
BHULI NAHIN MAI
JIS RAAT MAI TANHAA THI US RAAT KE DHALNE KO
TUTE HUWE NEZE KO US RAAT KE PEHRE KO
BACHCHON KE SISAKNE KO AUR RAAT KE BISTAR KO
BHULI NAHIN MAI
UN SHAAM KE GALIYONKO JINSE KHULE SAR GUZRE
JIS DARSE GUZAR NE ME THE SOLAA PEHER GUZRE
DARBAAR KE US DAR KO AUR SHAAMIYON KE SHAR KO
BHULI NAHIN MAI
HAI AAJ BHI WO GIRYAA HAI AAJ BHI WO ZAARI
HAI AAJ BHI PATHAR KE SINE SE LAHU JAARI
ROTE HUWE PATHAR KO PATHAR PE RAKHE SAR KO
BHULI NAHIN MAI
AATI HAI NAWED AB BHI AAWAAZ YE ZAINAB KI
HAI MUJHKO QASAM SADIYON SE SUKHE HUWE LAB KI
PYAASE ALI ASGHAR KO SUKHE HUWE SAAGAR KO
BHULI NAHIN MAI