BAAZAARE SHAAM AAYAA BAAZAARE SHAAM AAYAA
AABID NE SAR JUKAAYAA NAUHAA LABON PE AAYAA
BARSAAT PATHARON KI SAR NANGE BIBIYAAN THI
NEZAA LAGAA KISIKE KHUN ME KOI NAHAAYAA
QAIDI KHADE HUWE HAIN BAAZU BANDHE HUWE HAIN
NAAMUSE MUSTAFAA NE AANKHON SE KHUN BAHAAYAA
GARDAN ME TOUQ BHAARI ZAKHMON SE KHUN HAI JAARI
THAK KAR JAHAAN BHI BAITHE DURRAA WAHIN PE KHAAYAA
PARDE ME HAI KANEEZEN SHEHZAADIYON KI AANKHE
JIS DAM JUKI HAYAA SE SURAJ NE MUNH CHHUPAAYAA
CHAADAR KI HAI SAWAALI ATHAARAA BHAAI WAALI
WO DES KAL THAA APNAA WO DES HAI PARAAYAA
HONE LAGI AZAANEN CHUP HOGAYI ZABAANEN
AABID NE APNAA KHUTBAA ROROKE JAB SUNAAYAA
KUFE KI SHAAHZAADI KAB THI GHAMON KI AADHI
TAQDEER NE YE KAISAA ZAINAB KO DIN DIKHAAYAA
KEHTI THI YE SAKINAA PHAT TAA HAI MERAA SINAA
KEHDE KOI TO AAKAR HUKME RIHAAI AAYAA
RAIHAAN NAUHAA KHWAANI SAJJAAD KI ZABAANI
JIBRIL SUNKE ROE JAB YE KHAYAAL AAYAA