Anjuman E Sakina



YAAD BAABAA KI SAKINAA KO RULAATI HI RAHI
MARTE DAM TAK BHI WO BAABAA KO BULAATI HI RAHI

BAABAA KE SINE PE SONE KI BADI AADHI THI
ASRE AASHUR SE EK LAMHAA BHI JO SO NA SAKI
ASHQ AANKHON SE MUSALSAL WO BAHAATI HI RAHI

APNE BAABAA KO SADAA DETI THI AKBAR KO KABHI
KABHI AMMU KO BULAATI ALI ASGHAR KO KABHI
JAB TALAK ZINDAA RAHI SAB KO RULAATI HI RAHI

DEKH KAR URHTE PARINDON KO YEHI SONCHTI THI
AISAA LAGTAA HAI NA GHAR LOUT KE JAAUNGI KABHI
YAAD USE APNE MADINE KI SATAATI HI RAHI

SEHMI SEHMI HUWI ZINDAAN ME WO REHTI THI
PAANI MAANGAA NAHIN ASGHAR SE JUDAA HO KE KABHI
PYAAS KO PITI RAHI GHAM KO WO SEHTI HI RAHI

DEKH KAR TASHT ME SAR BAABAA KAA CHILLAA KE KAHAA
SHIMR NE MAARE HAIN BEJURM TAMAACHE BAABAA
NEEL RUKHSAAR KE BAABAA KO DIKHAATI HI RAHI

BAABAA BAABAA KI SADAA QAID ME HI DAFN HUWI
SOGAYI MOUT KI AAGHOSH ME AAKHIR BACHCHI
AUR ZAINAB USE RORO KE JAGAATI HI RAHI

AI SUHAIL AANKHON ME SAJJAAD KI EK EK MANZAR
QAAFELAA HOKE RIHAA AA TO GAYAA GHAR KO MAGAR
YAAD SHEHZAADI KI SAJJAAD KO AATI HI RAHI