Anjuman E Sakina



SAKINAA QAID HOKE SHAAM KE ZINDAAN ME JAB AAYI
WO BACHCHI USS ANDHERE GHAR KI TAARIKI SE GHABRAAYI
ZAMEEN TO FARSH THAA SAAYAA FIGHAN THAA CHARKHE MINAAYI
PHUPHI KE PAAS REHTI THI NA MAA KE PAAS SOTI THI
BAREHNAA SAR KHADI ZINDAAN KE DAR PE ROTI THI
KAHAA ZAALIM NE ISKO QAID E TANHAAYI ME RAKHNAA HAI
KAHAA AABID NE O-ZAALIM YE KAISAA ZULM KARTAA HAI

SAKINAA DARJAAYEGI - SAKINAA DARJAAYEGI
KAMSIN HAI - MAASUM HAI KAISE AKELI REH PAAYEGI
ABHI KAAN ZAKHMI HAI RUKHSAAR NEEL-E
ABHI KHWAAB ME DEKHTI HAI TAMAACHE
KHUDAA NAA KARE SAANS ISKI NA TOOT-E
AKELI RAHEGI TO MARJAAYEGI
KAISE AKELI REH PAAYEGI

KHUDAARAA NA ISKO JUDAA MAA SE KARNAA
ABHI BAAP KAA GHAM NA BHULI SAKINAA
HAI WAISE HI BACHCHI KAA DUSHWAAR JINAA
AKELI RAHEGI TO MARJAAYEGI
KAISE AKELI REH PAAYEGI

TADAPTI HAI APNE CHACHAA SE BICHHAD KAR
LIYE HAI KAI GHAM KALEJE KE ANDHAR
NA DE AUR GHAM ISKO ZAALIM SITAMGAR
GHAMON KI HAWAA ME BIKHAD JAAYEGI
KAISE AKELI REH PAAYEGI

NA SOYI YE SHAAM-E-GHARIBAAN KI JAAGI
KAHI NABZ HI DOOB JAAYE NA ISKI
GALE SE NA KHOLI GAYI JISKI RASSI
ANDHERON ME AAKHIR KIDHAR JAAYEGI
KAISE AKELI REH PAAYEGI

ISI QAID-KHAANE ME TURBAT BANEGI
YE AB APNE BAABAA SE MIL NAA SAKEGI
YE MARKAR BHI AB QAID HI ME RAHEGI
WATAN YE NAHIN BAS KHABAR JAAYEGI
KAISE AKELI REH PAAYEGI

ZARAA ISKE CHEHRE KI DEKHO UDAASI
HAI LAB ISKE SUKHE NAZAR ISKI PYAASI
YE ZAKHMI BADAN AUR YE KHASTAA LIBAASI
YE LEKAR LAHAD ME UTAR JAAYEGI
KAISE AKELI REH PAAYEGI

YE KAB KEH RAHAA HUN KE LORI SUNAADO
JO MUMKIN HO SAR ISKE BAABAA KAA LAA DO
ISE ISKE AMMU KI KHUSHBU SUNGAADO
SAFAR PHIR YE DUNIYAA SE KAR JAAYEGI
KAISE AKELI REH PAAYEGI