Anjuman E Sakina



RONAA BHI HAI BAABAA PE AANSUN BHI CHHUPAANE HAIN
ZINDAAN MEN SAKINAA KO YE GHAM BHI UTHAANE HAIN

SHABBIR KE BACHCHON MEN EK AISI YATIMAA HAI
MAALUM NAHIN HOTAA ZINDAA HAI KE MURDAA HAI
ZAALIM KE TAMAACHON SE RUKHSAAR BACHAANE HAIN

MAASUM SI BACHCHI PE YE ZULM BHI DHAATE HAIN
ROYE TO SATAATE HAIN CHUP HO TO RULAATE HAIN
KAB JAANE HASI THI WOH AB BEET-E ZAMAANE HAIN

EK SHAB KI MUSAAFAT PE TAQDIR HI BADLI HAI
KE ZAD PE TAMAACHON KI KAMSIN SI WOH BACHCHI HAI
QURBAAN HUWE JISPE ABBAAS KE SHAANE HAIN

DAR APNI JAGAAH LAIKIN KUCHH YUN BHI NAHIN ROTI
YE SONCH KE CHUP HAI KE JIS WAQT RIHAA HOGI
TAB TURBATE ASGHAR PE KUCHH AANSUN BAHAANE HAIN

SHABBIR SI SAABIR KI BETI YEH SAKINAA HAI
QAIDI BHI HAI BEBAS BHI ZAKHMI BHI HAZINAA HAI
PAR SABR KE SAB JAUHAR ZAALIM KO DIKHAANE HAIN

SALMAAN YAA MISAM HO YAA KOI BHI ZAAKIR HO
BAS EK BHI LAMHE KO AISAA HO AGAR SONCHO
GUT GUT KE SISAKTE HO AUR NAUHE SUNAANE HAIN