Anjuman E Sakina



QAID SE ZAINUL IBAA LEKAR CHA-LE QAAFELAA
THAA YEHI SHORO SHAIN LUTGAYAA KUNBAA
HAAE HUSEINAA HAAE HUSEINAA HAAE HUSEINAA

QABRE SAKINAA PE MAA NE YE RO-KE KAHAA
BIBI ZINDAAN SE AAJ HUWAA KUNBAA RIHAA
TAVQ AUR BEDI-SE BHAAI BHI RIHAA HUWAA
TUM BHI UTHTHO KE JAATE HAI KARBO-BALAA
BIN TE-RE MAI NA JAAUNGI MAAHE LAQAA
TUJH PE MAA HO FIDAA LEKAR CHA-LE QAAFELAA

RO-KE KEHTI THI ZAINAB ASEER-E MEHAN
CHHUT KAR QAID KHAA-NE SE AAYI BAHAN
TUM SE SHARMINDAA KHWAAHAR HAI SHAAHE ZAMAN
LAA SAKI NAA SAKINAA KO SAATH BAHAN
CHAL BASI QAID MEN HAAE WOH KHASTAA-TAN
THAA EK HASHR BAPAA LEKAR CHA-LE QAAFELAA

KHAIMON MEN AAG BHAYYAA LAGAAYI GAYI
PAA-E AABID MEN BEDI PEHNAAYI GAYI
BACHCHI ROI TO SEILI LAGAAYI GAYI
TERI HAMSHIR BE JAA SATAAYI GAYI
AALE ATHAAR DAR DAR PHIRAAI GAYI
DHAAI HAM PE JAFAA LEKAR CHA-LE QAAFELAA

RO-KE KEH-TE THE AABID BAA RANJ-O MEHAN
BAABAA DE NA SAKAA AAP KO MAI KAFAN
BETE KO MAAF KIJE YAA SHAA-HE ZAMAN
JALTI RETI PE THAA AAP KAA ZAKHMI TAN
KHUN KE AANSU BAHAA TAA THAA YE KHASTAA-TAN
GIRAF-TAA-RE BALAA LEKAR CHA-LE QAAFELAA

LAASH SHAHEEDON KE JAB DAFN HO-NE LA-GE
GHAM MEN EH-LE HARAM JAAN APNI KHO-NE LA-GE
AANSUON SE JO DAAMAN BHIGO-NE LA-GE
PIT KAR SAR KO SAJJAAD RO-NE LA-GE
QABRON KO ASH-KE GHAM SE BHIGO-NE LA-GE
ASEERAA-NE BALAA LEKAR CHA-LE QAAFELAA

AI NA-IM AB KARO KHATM NAVHAA-E GHAM
DAASTAAN-E HARAM HAI BADI PUR ALAM
RO-KE KEHTI HAI SUGHRAA BA RANJ-O ALAM
HAAE TAQDIR NE KYAA YE DHAAYAA SITAM
AAYE ZINDAA PALAT KAR NA SHAA-HE UMAM
YE KYAA GHAZAB HUWAA LEKAR CHA-LE QAAFELAA