KARBO-BALAA MEN ARSH KE TAAR-E BIKHAD GAYE
MAQTAL MEN BHOOKH PYAAS KE MAAR-E-BIKHAD GAYE
SHIDDAT THI AAFTAAB Kl KYAA ROZ-E QATL-E SHAAH
AAHON SE FAATEMAA KE SHARAA-RE BIKHAD GAYE
GESU-E MUSHK BU ALI AKBER KE RAAT BHAR
MAAN NE HAZAAR BAAR SANWAAR-E BIKHAD GAYE
DARIYAA PE BHAAI DASHT MEN FARZAND RAN MEN DO
MAZLUM KE TAMAAM SAHAA-RE BIKHAD GAYE
RUBAAD-E TEER KEH NA SAKAA MUNH SE BE ZABAAN
MAASUM KE FIZAA MEN ISHAA-RE BIKHAD GAYE
DAVDAA DIYE FARAS JO LAEEN-ON NE LAASH PAR
AA-ZAA HASAN KE LAAL KE SAAR-E BIKHAD GAYE
BACHCHE KAHIN HAI SHAAME GHARIBAAN HARAM KAHIN
AANDHI CHALI BALAA KI SITAARE BIKHAD GAYE
QURAAN KO AAJ TAK HAI UN AWRAAQ KI TALAASH
JO NEH-RE ALQAMAA KE KANAA-RE BIKHAD GAYE
ZEHRAA UT-HAA NE AAI HAI MAJLIS MEN AI UROOJ
JAWHAR JO AANSUON KE HAMAA-RE BIKHAD GAYE