SUGHRAANE YE BAABAA SE KAHAA BAA-DILE MUZTAR
FARIYAAD HAI BAABAA
AMMAA BHI MUJ-HE CHHODKE JAATI HAI SAFAR PAR
FARIYAAD HAI BAABAA
REH JAAUNGI-TANHAA JO MAI KUNBE SE BICHHAD KE
MARJAAUNGI GUTKE
UJDAA HUWAA LAGTAA HAI ABHI SE YE BHARAA GAR
FARIYAAD HAI BAABAA
DIN JUKTE-HI JAB PHAIL-NE LAGTAA HAI ANDHERAA
PHAT TAA HAI KALEJAA
DAADI KI MAI RONEKI SADAA SUNTI HUN AB TAK
FARIYAAD HAI BAABAA
YE WAQT BHI AAEGAA YE SONCHAA BHI NAHIN THAA
BADLE-GAA ZAMAANAA
SHABBIR SE CHHUT JAAEGI SHABBIR KI DUKHTAR
FARIYAAD HAI BAABAA
ISS HAAL MEN JINAA MUJ-HE HO JAAEGAA MUSHKIL
KEHTAA HAI MERAA DIL
LENE NA MUJHE AAENGE BHAYYAA ALI AKBAR
FARIYAAD HAI BAABAA
KYAA MUJH-SE SHIKAAYAT THI KE AMMU MERE ABBAAS
AAYE NA MERE PAAS
SAMJAA NA MUJ-HE HAAE SAKINAA KE BARAABAR
FARIYAAD HAI BAABAA
KYAA THAA JO MERE SAAMNE WOH GUTNIYO CHALTAA
JI MERAA BEHELTAA
REH JAATAA MERE PAAS JO MERAA ALI ASGHAR
FARIYAAD HAI BAABAA
JAB BEKASO LAACHAAR SE RUKHSAT HUWE SAAHIL
YASRAB KE MUSAAFIR
BAS EK HI FARIYAAD THI SUGHRAA KI ZABAAN PAR
FARIYAAD HAI BAABAA