AASHUR KAA MANZER HAI AUR ZAINAB
KUFFAAR KAA LASHKER HAI AUR ZAINAB
ASBAAB LUT CHUKAA HAI KHAIMEN BHI JAL CHUKE HAI
ZULMO SITAMKI SURAT AAHON MEN DHAL CHUKE HAI
EK LAASHAE BE SER HAI AUR ZAINAB
BHAAI Kl LAASH RANMEN URIYAAN PADI HUI HAI
HAMSHIR SER BAREHNAA BE AASRAA KHADI HAI
AFSOS Kl CHAADER HAI AUR ZAINAB
NAANAA Kl QABR CHHUTI HAAE WATAN BHI CHHUTAA
WOH GHAR JO FAATEMA KAA KALTAK BASAA HUWA A THAA
UJDAA HUWAA WOH GHAR HAI AUR ZAINAB
QAASIM Kl LAASH DEKHI AKBER Kl LAASH DEKHI
ABBAASE BAA WAFA A Kl ASGHER Kl LAASH DEKHI
AB LAASHE BARAADER HAI AUR ZAINAB
SHOALE BHADAK RAHE HAI GULZAARE PANJATAN MEN
EHLE HARAMKE BAAZU BAANDHE HAI EK RASANMEN
ISLAAM KAA LASHKER HAI AUR ZAINAB
PHAILE HUWE HAI HARSU WIRAANION KE SAAYE
ZAINAB Kl EK JAAN HAI KIS KIS KAA GHAM UTHAAE
BIMAAR HAI LANGER HAI AUR ZAINAB
KUFEKI SHAAHZAADI SERPER RIDAA NAHIN HAI
YE HAAL HAI KE KOI PEHCHAANTAA NAHIN HAI
DARBAARE SITAMGAR HAI AUR ZAINAB
NAAMEHRAMON Kl NAZREN PADTI HAI JAB HARAM PER
SHARMO HAYAASE ZAINAB BECHAIN HAR QADAM PER
HER GAAM EK LASHKER HAI AUR ZAINAB
MEHSHER KHULUSE DILSE KAR ZIKR PANJATANKAA
LIKH APNE AANSUONSE NAWHAA SHAHE ZAMANKAA
PHIR TERAA MUQADDER HAI AUR ZAINAB