Anjuman E Sakina



EK BACHCHI SHAAMKE ZINDAANKE
DARWAAZE PAR KEHTI HAI ROKAR
AA-A-DAA NE KIYAA HAI QAID HAMEN
BE-JURMO KHATAA ISS JAHAAN LAAKAR
Al SHAAMIYO WAARIS KOI NAHIN
SAB QATL HU WE MUNISO YAAWAR

AAZAAD KARAA DO ZINDAAN SE
KUCHH KHAAKE TARAS HAMPAR LOGON
MUMKIN JO NAHO YE TUMSE
TO KAAM MERAA ITNAA KARDO
EHWAALE ASIRI KARBAL MEN
JAAKAR MERE BAABAA SE KEH DO

HAR AANE JAANE WAALE SE KEHTI THI SAKINAA SUNTAA JAA
TUN BEHRE KHUDAA YE PONHCHAADE BAABAAKO EK PAIGHAAM MERAA

TAARIKI-E ZINDAANSE MUJHKO KHOVF AATAA HAI DAM GUT-TAA HAI
AAJAAWO RIHAAI DILWAANE LE JAAEGI WARNAA MUJHKO QAZAA

BAABAA JO MERE TUJHKO NA MILE TO BHAAI TUJHE HOGI ZEHMAT
JAAKAR LAB-E DARIYAA AMMUSE SAB HAAL MERAA BATLAA DENAA

AMMUSE AGAR TUN MIL NA SAKE USS KHUNI BAYAA-BAAN MEN SHAAYAD
TO HONGE WAHAAN BHAAI MERE HAI NAAM ALI AKBAR UNKAA

EHSAAN BADAA HOGAA TERAA MIL JAAYE AGAR AVNO JAAFAR
JO HAALAT ABTAR DEKHI HAI WOH SAB UNKO BATLAA DENAA

DIQQAT NA KOI TUJHKO HOGI PAIGHAAM MERAA PONHCHAANE MEN
ZARRAA ZARRAA PEHCHAANTAA HAI BHAAI QAASIM KO KARBAL KAA

KAISI YE QAYAAMAT TUT PADI WIRAAN HUWAA ZINDAAN KAA DAR
JO BAITHI HUWI KARTI THI FUGHAAN AAJ USS BACHCHI NE DAM TODAA

JAB EHLE SHAAM NE PAAYI KHABAR WOH BACHCHI CHALBASI GUT GUTKE
TAB HONE LAGAA GALIYON GALIYON KUCHE KUCHE EK HASHR BAPAA

KEHTE HAI SAKINAA SAB JISKO AISI WOH ANIS EK QAIDI HAI
ARMAANE RIHAAI MARKAR BHI JIS QAIDI KAA PURAA NA HUWAA