ZINDAAN SE GUL UTHAA HAI SAKINAA GUZAR GAYI
THI LAADLI JO SHAAH-E SHAHIDAAN KI CHAL BASI
AB HAI FUGHAAN KAA SHOR NA AAWAAZ-E AL ATASH
MILNE KI AARZU HAI PADAR SE NA KASHMAKASH
KHAAMOSHIYON KI GOD ME NOORE NAZAR GAYI
RUKHSAAR NEELE NEELE WO KURTAA PHATAA HUWAA
CHEHRAA TAMAAM GARD-E ALAM SE ATAA HUWA
HASRAT LIYE RIHAAYI KI BAA CHASHM-E TAR GAYI
NAALE RABAAB KARTI THI ZAINAB THI BEQARAAR
MAATAM KUNAA THI BIBIYAAN SAJJAAD SOGWAAR
KEHTE THE ROKE BAALI SAKINAA KIDHAR GAYI
BHAAI THAA QAID MAA BHI RASAN BASTA-O ASEER
AMMU KI YAAD DIL ME CHUBHOTI THI GHAM KE TEER
SOZ-E GHAM-E FIRAAQ ME JAAN SE GUZAR GAYI
MARKE BHI QAID SE NA RIHAAYI HUWI NASEEB
AL QISSAA DAFN HO GAYI ZINDAAN ME WO GHAREEB
NAWHAA JO ROZ KARTI THI WO NAUHAAGAR GAYI
RAIHAAN SAR KO PITIYE AANSU BAHAAIYE
FARSH-E AZAA SAKINAA KE GHAM ME BICHHAAIYE
POTI ALI KI SHAAM KE ZINDAAN ME CHALBASI