Anjuman E Sakina



BIMAARI ME AASMAA SE YE FARMAAYAA KE AAWO
NAZDIK QAZAA HAI MERI MAT DER LAGAAWO
TUM CHHATRI JANAAZE KI LIYE MERE BANAAWO
TAYYAAR KARO AAGE MERE MUJHKO DIKHAAWO
ASMAA NE YE KI ARZ KE KYAA KEHTI HO BIBI
KYUN DAAGH HAMEN MARNE KAA TUM DETI HO BIBI

ALLAH RAKKHE AAPKO DUNIYAA ME SALAAMAT
AHMED KI NISHAANI HO ALI KI HO AMAANAT
KYUN KAR HO GAWAARAA ABHI FARZANDON KI FURQAT
BANDHI SE NAHIN HO SAKI KUCHH AAKHERI KHIDMAT
BAAQI RAHE KHUSHBU YEHI AHMAD KE CHAMAN KI
SHAADI BHI RACHE GHAR ME HUSEIN AUR HASAN KI

ZEHRAA NE KAHAA GAR JO MUJHE MOUT NA AATI
MAI DAAR-E FANAA CHHOD KE NA KHULD KO JAATI
YE DONON MERE LAAL KO MAI DULHAA BANAATI
NANNHI SI DULHAN DONON KI MAI GHAR ME LE AATI
PAR FAATEMAA NAACHAAR HAI HAI AMR KHUDAA KAA
FIRDOUS KO MAI JAATI HUN HAI HUKM KHUDAA KAA

UMMAT NE NIKAALAA HAI AJAB KHUB QARINAA
BAABAA SE MERE DUSHMANON KE DIL ME THAA KINAA
JO MUJHKO DIYAA BAAGH-E FADAQ USKO BHI CHHINAA
IS GHAM SE PHATAA JAATAA HAI BIBI MERAA SINAA
PEHCHAANI NA KUCHH QADR ZAMAANE NE ALI KI
BETI MUJHE SAMJHI NA RASOOL-E ARABI KI

DARWAAZAA LAEEN NE MERE PEHLU ME GIRAAYAA
MOHSIN KAA HAMAL MUJHSE LAEENON NE CHHUDAAYAA
DUSHMAN NE MERI PITH PE DURRE KO LAGAAYAA
DUNIYAA ME KABHI FAATEMAA NE CHAYN NA PAAYAA
FAAQE BHI MERE GHAR ME GUZARTE HUWE DEKHE
MAA BAAP KO AAGE MERE MARTE HUWE DEKHE

KHAAMOSH HUWI FAATEMAA YE KEHKE DOBAARAA
YE SUNTE HI ASMAA KAA JIGAR HOGAYAA PAARAA
KEHNE LAGI ASMAA SE KE AB KUCHH NAHIN YAARAA
DUNIYAA SE CHALI AB MAI NAHIN ZABT KAA YAARAA
PHIR CHHATRI JANAAZE KI ASMAA NE BANAAYI
TAYYAAR WO KAR FAATEMAA ZEHRAA KO DIKHAAYI

HAIDER SE KAHAA FAATEMAA NE YUN DAM-E REHLAT
MAI TUMKO SUNO AAKHERI KARTI HUN WASIYYAT
KHAALIQ KAA MUJHE HUKM HAI MAI JAATI HUN JANNAT
BACHCHON PE MERE RAKHNAA TUM HAR WAQT SHAFAQQAT
BIMAARI KE ANDHAR MUJHE ANDESHA BADAA HAI
DARWAAZE PE AAKAR MALIKUL MOUT KHADAA HAI

PEHLI YE WASIYYAT HAI MERI AASHIQE BAARI
JIS DIN SE MAI AAYI HUN JO KHIDMAT ME TUMHAARI
MAIN JUTH NAHIN BOLI KOI DIN MERE WAARI
GAR KOI KHATAA HO TO KARO MAAF HAMAARI
HAI WAQT QARIB JAAN NIKAL JAAYEGI MAULAA
JO BAAT HAI KEHNE KI WO REHJAAYEGI MAULAA

HAI DUSRI YE MERI WASIYYAT MERE SARWAR
MAI SONPTI HUN TUMKO YE DONON MERE DILBAR
SAAYE ME RAHE AAP KE YAA HAIDAR-E SAFDAR
KOI WAQT NA BECHAYN HO YE DONON BARAADAR
MAADAR KI TARHA PYAAR ISE KIJIYO MAULAA
MAANGE JO KOI CHIZ MANGAA DIJIYO MAULAA

HAI TEESRI YE MERI WASIYYAT NA BHULAANAA
KAAFOOR KAFAN ME MERE TUM AAKE LAGAANAA
AUR RAAT KO TUM MERE JANAAZE KO UTHAANAA
LE JAAKE MERI QABR BAQIYE ME BANAANAA
DEKHE NA MERI LAASH KOI AAKE KAFAN ME
AUR GHAIR NA SHAAMIL HO KOI MERE DAFAN ME

PHIR ITNE ME KI ZAINAB-E NAASHAAD SE GUFTAAR
ZAINAB MERE FARZANDON SE REHNAA TU KHABARDAAR
TUM SAATH KABHI BHAAI KAA MAT CHHODIYO ZINHAAR
AAYE JO BALAA SAR PE UTHAA LIJIYO HAR BAAR
DUNYAA ME NA TUM MAA KAA CHALAN BHULIYO ZAINAB
POHNCHE JO MUSIBAT TO SABAR KIJIYO ZAINAB