CHAARON TARAF HAI AAJ ANDHERAA ALI KE BAAD
NAUHAA KUNAA HAI MASJID-E KUFAA ALI KE BAAD
DUNIYAA SE AAJ BOLTAA QUR’AAN UTHGAYAA
HASNAIN KAA HAI KOUN SAHAARAA ALI KE BAAD
GARDUN SE JIBRAEEL KI AATI HAI YE SADAA
AB HO NA JAAE DEEN DO PAARAA ALI KE BAAD
SAJDE ME ROZEDAAR KO MAARAA LAEEN NE
HAATIF SARE JINAA YE PUKAARAA ALI KE BAAD
AMMAA KAA GHAM THAA TAAZAA KE BAABAA HUWE SHAHEED
KEHTI HAI ROKE SAANI-E ZEHRAA ALI KE BAAD
RORO KE KEHRAHI HAI YE UMMUL BANEEN AAJ
JINAA NAHIN HAI HAMKO GAWAARAA ALI KE BAAD
THARRAA RAHAA HAI ROUZA-E SARDAAR-E AMBIYAA
ROTI HAI ROOH-E FAATEMAA ZAHRAA ALI KE BAAD
EHSAN FARISHTE KARTE HAIN NAUHAA YE ARSH PAR
KYAA HO BAYAAN JO HASHR THAA BARPAA ALI KE BAAD