Anjuman E Sakina



AMMAA TERE BETE KO SITAMGAARON NE MAARAA
SAJDE ME HUWAA QATL BARAADAR MERAA PYAASAA

BARCHHI ALI AKBAR KE KALEJE SE NIKAALI
AASHUR KO LAASHE BHI AKELE HI UTHHAALI
PHIR BHI SHAH-E DEEN PAR NA KIYAA REHM ZARAA SAA

ABBAAS KE LAASHE PE YE SARWAR NE SADAA DI
BHAAI TERI RUKHSAT NE KAMAR TOD-DI MERI
JAB SOGAYAA HAAYE MERAA GHAAZI LAB-E DARYAA

KHANJAR LIYE JO SHIMR BARHAA JAANIB-E SARWAR
BACHCHI NE KAHAA MAAR NA ZAALIM NA SITAM KAR
PHAT-TAA THAA JIGAR DUR SE MANZAR JO YE DEKHAA

JAB GARDAN-E SARWAR PE RAKHAA SHIMR NE KHANJAR
BETI SE KAHAA BAABAA NE THHEHRO NA YAHAAN PAR
SAJDE ME LAEEN NE SAR-E SHABBIR KO KAATAA

KHANJAR JO CHALAA SHEH KE GALE PAR SAR-E MAQTAL
HAR ZARB SE BARPAA HUWAA MEHSHAR SAR-E MAQTAL
SAR PIT KE NABIYON NE KIYAA SHAAH PE GIRYAA

SAR KAAT KE YE ZULM KIYAA AUR UNHO NE
PAAMAAL KIYAA LAASHA-E SHABBIR SUMON SE
AAZAA-E SHAHE DEEN KO MUSALMAANON NE KAATAA

TEERON KE LAGE ZAKHM SHAHE DEEN KE BADAN PAR
ZAKHMI THAA BOHOT NEZON SE TAUHEED KAA MAZHAR
PHIR JALTI HUWI RET KO HAR ZAKHM PE DAALAA

RAIHAAN-O IRAM BAS WO QAYAAMAT KI GADI THI
JAB QABR PE ZAHRAA KI YE ZAINAB NE BUKAA KI
BE GORO KAFAN DASHT ME THAA SHAAH KAA LAASHAA