Anjuman E Sakina



YASRAB NAZAR AAYAA YASRAB NAZAR AAYAA
KULSOOM NE MEHMIL KE JO PARDE KO UTHAAYAA
YASRAB NAZAR AAYAA YASRAB NAZAR AAYAA
APNAA THAA WATAN AUR PARAAYAA NAZAR AAYAA

MU DHAMP KE RONE LAGI AHMAD KI NAWAASI
WIRAAN DAR-O-BAAM THE ALLAH RE UDAASI
UJDAA BANI HAASHIM KAA MAHELLAA NAZAR AAYAA

WO GALIYAAN JAHAAN AUNO MUHAMMAD KABHI KHELE
ABDULLAA WAHAAN PHIRTE THE KHAAMOSH AKELE
HAR SIMT ME BACHON KAA SARAAPAA NAZAR AAYAA

SUGHRAA NE KHABAR PAAYI KE LOUT AAYE MUSAAFIR
KHUSH HOGAYI ROUZE PE NABI KE HUWE HAAZIR
KYAA SONCHAA THAA SUGHRAA NE USE KYAA NAZAR AAYAA

UJDI HUWI HAR MAANG THI HAR GOD THI KHAALI
ASGHAR KAA SHALUKAA THAA SAKINAA KI THI BAALI
ABBAAS KAA PARCHAM BHI AKELAA NAZAR AAYAA

JIS WAQT RUKI NAANAA KE ROUZE PE AMAARI
NAAQE SI GIRI KHAAK PE WO DARD KI MAARI
ROTAA HUWAA NAANAA KAA JO CHEHRAA NAZAR AAYAA

SUGHRAA NE KAHAA AMMAA SE KYUN GOD HAI KHAALI
EK AAH BHARI BANO NE KUCHH MUNH SE NA BOLI
RONE LAGI JALTAA HUWAA JULAA NAZAR AAYAA

HUJRE ME NAZAR AAYE NAHIN QASIM-O-AKBAR
KEHNE LAGI MAI CHHORGAYI THI YE BHARAA GHAR
GHAR QABR KE MAAHOL ME DHALTAA NAZAR AAYAA

BISTAAR TO WAHAAN AUNO MUHAMMAD KE SAJE THE
AUR SAAMNE ASGHAR KE KHILONE BHI RAKHE THE
LAIKIN NA KOI KHELNE WAALAA NAZAR AAYAA

AI SARWAR-O-RAIHAAN GHAME SHAAHE HUDAA SE
SAIDAANIYAA UTHI NA KABHI FARSHE AZAA SE
AANKHON ME LAHU HOTON PE NAUHAA NAZAR AAYAA