Anjuman E Sakina



AI BAADE SABAA JAA KE AMMU KO BATAANAA
PYAASI HAI SAKINAA
YAAD AAYE SAKINAA TO CHACHAA LOUT KE AANAA
PYAASI HAI SAKINAA

IS CHHOTE SE SIN ME YE SITAM MAINE UTHAAYE
ALLAAH KISI KO NA YATEEM AISAA BANAAYE
KHUD APNE LAHU ME KOI BACHCHI NA NAHAAYE
MAI TUMKO BULAATI RAHI TUM BHI TO NA AAYE
MAI BANGAYI BAAD ASR LAEENON KA NISHAANAA

PAANI KI TALAB MUJHKO KHILAATI RAHI THOKAR
KEHTAA THAA LAEEN DUNGAA MAI FOUJON KO PILAAKAR
JAB SHIMR-E-LAEEN KAR CHUKAA SAIRAABIYE LASHKAR
DIKHLAA KE MUJHE PHENK DIYAA PAANI ZAMEEN PAR
TAB SAMJHI MAI KYAA HOTAA HAI UMMEED DILAANAA

EK JAAM HUWAA SHAAME GHARIBAAN ME MAYASSAR
WO KUZAA MAI RAKH AAYI THI ASGHAR KI LAHAD PAR
THAA MUJHSE BHI CHHOTAA MERAA BHAIYYAA MERAA DILBAR
SHARMINDAA MAI HO JAATI CHACHAA PYAAS BUJHAA KAR
AB APNE HI HAATHON SE MERI PYAAS BHUJAANAA

EK RASSI ME HAM SAB KE GALE BAANDH KE AADAA
KARTE HUWE TASH-HEER CHALE JAANIBE KUFAA
AUR USPE MUSIBAT YE THI QAD CHHOTAA THAA MERAA
JAB UTH-TI THI PHUPHIYAAN TO GALAA KHICHTAA-THAA MERAA
GARDAN KAA MERE ZAKHM CHACHAA DEKHNE AANAA

JIS ROZ SE ASGHAR KO MILAA BAABAA KAA SINAA
US ROZ SE AMMU NAHIN SO PAAYI SAKINAA
IS HAAL ME JAAUNGI MAI KIS TARHA MADINAA
AAJAAYE MUJHE MOUT HAI KIS KAAM KAA JINAA
JAAGI HUN BOHOT AAKE CHACHAA MUJHKO SULAANAA

GHAR LOUT KE JAATE HAIN HAR EK SHAAM PARINDE
QISMAT ME LIKHE HAIN MERI ZINDAAN KE ANDHERE
KAB TAK MAI JIUNGI YUNHI ASHQON KE SAHAARE
LAGTAA HAI KE MARJAAUNGI AB DUR WATAN SE
HOGAA NA MAYASSAR MUJHE GHAR LOUT KE JAANAA