KHAAMOSHIYON SE HI PUCHHO
IN AANSUON SE HI PUCHHO
BADE ZULM RAAHON ME SEHTI RAHI HAI
YATEEMI KE TAANE YE SEHTI RAHI HAI
NAHIN MAAR ZAALIM TAMAACHE ISE
NA KAR ISKAA DUSHWAAR JINAA
BOHOT ROCHUKI HAI SAKINAA
SAFAR ME YE SOYI NA ZINDAAN ME AAKAR
UJAALAA DIYAA HAI YAHAAN GHAR JALAAKAR
PADAR SE JO BICHHDI HAI AASHUR KO
SUKOON PAA SAKI PHIR KABHI NAA
MILAA DASHT ME JAB KE BAABAA KAA LAASHAA
LIPAT KE PADAR SE KIYAA KHUB GIRYAA
WAHAAN POHNCHI ZAINAB TO SHEH NE KAHAA
SULAADO ISE JAAKE BEHNAA
RASAN DEGAYI HAI NISHAANI GALE PAR
HAI PESHAANI ZAKHMI JO KHAAYE THE PATHTHAR
NISHAAN HAI TAMAACHON KE RUKHSAAR PAR
MASAAIB SE ZAKHMI HAI SINAA
KABHI APNE BAABAA KE QAATIL SE DARKAR
KABHI ROYI ZINDAAN ME TANHAAIYON PAR
KABHI BOLI ZAINAB SE AB GHAR CHALO
HUWAA EK BARAS EK MAHINAA
QAYAAMAT KI EK RAAT AISI BHI AAYI
QAZAA NE SAKINAA KO LORI SUNAAYI
KAHAA ROKE SAJJAAD NE AI PHUPHI
KE AB ROEGI PHIR KABHI NAA
JO QABRE SAKINAA PE ROTE THE QAIDI
TO UN RONE WAALON SE BAANU YE KEHTI
ABHI THAK KE SOYI HAI ZINDAAN ME
JAGAANAA ISE AB KOI NAA