Anjuman E Sakina



AI SHAAM KE ZINDAAN TERI MEHMAAN SAKINAA
BIKHDE HAI HAZAARON TERE ARMAAN SAKINAA

DEKHAA NAHIN JAATAA THAA HARAM SE TERAA RONAA
WOH NAUHAA WOH MAATAM WOH TERAA KHAAK PE SONAA
THI KITNI HI RAASAANO PAHESHAAN SAKINAA

BAABAA KI JUDAAI KAA LIYAA DAAGH JIGAR PAR
ABBAAS NA AKBAR HAI NA QAASIM HAI NA ASGHAR
ISS AALAME GHURBAT PE THI HAIRAAN SAKINAA

NAZRON SE MANAAKAR WOH HATAAE BHI TO KAISE
MAQTAL KO NIGAAHON SE BHULAAE BHI TO KAISE
MAQTAL KI KAHAANI KAA HAI UNWAAN SAKINAA

HONTHON KI KHAAMOSHI SE AYAAN AAHO FUGHAAN BHI
RUKHSAAR PE BAAQI THE TAMAACHON KE NISHAAN BHI
KAANON KAA LAHU HAI TERI PEHCHAAN SAKINAA

QISMAT MEN NA LIKHI THI JO ZINDAAN SE RIHAAI
ZAKHMI HAI ABHI TAK TERI NANNHI SI KALAAI
DARBAAN BHI HAI AAJ PASHEMAAN SAKINAA