BAAZAAR ME BINTE ALI
DETI THI SADAA BHAAI
ABBAAS KAHAAN HO
SAR PAR BHI NAHIN CHAADAR
LAAKHON HAI TAMAASHAAI
ABBAAS KAHAAN HO
IS AALAME GHURBAT ME KOI BHI NAHIN MERAA
HAI KHAAKE SAFAR SAR PAR AUR HAATH RASAN BASTAA
PARDES ME ZAINAB KO TAQDIR KAHAAN LAAYI
DARIYAA KE KINAARE TUM AADAA SE GAYE LARNE
TAB DEKH RAHI THI MAI DARWAAZA-E KHAIMAA SE
AB JANG HAMAARI BHI DEKHO TO ZARAA BHAAI
DUNIYAA KAA SAHAARAA HAI BAABAA JO HAMAARAA HAI
MUSHKIL ME MAGAR MAINE TUMKO BHI PUKAARAA HAI
AB DHUNDHTI HAI TUMKO BHAYYAA MERI BINAAI
BE MUNISO YAAWAR HAIN BATLAAWO KIDHAR JAAEN
IS TARHAA TO JINE SE BEHTAR HAI KE MARJAAEN
FARIYAAD KAREN KISSE HOTI NAHIN SUNWAAYI
AI SHERE JARI MERI IMDAAD KO AAJAAO
MAANGAA HAI KANIZI MEN ZAALIM NE SAKINAA KO
HAI WAQT QAYAAMAT KAA MAASUM HAI GHABRAAI