Anjuman E Sakina



SHAAH KI LAADLI JAB QAIDI-E ZINDAAN HUWI
ROYI GHABRAAYI BOHOT AUR PARESHAAN HUWI
QAID KHAANE KI GUTAN MOUT KAA SAAMAAN HUWI
JAAN LAGTAA THAA KE MAASUM KI BEJAAN HUWI
LAASH SHABBIR KI MAQTAL ME TADAP JAATI THI
QAID KHAANE SE JO BACHCHI KI SADAA AATI THI

AB MUJHE KOI SAKINAA NAHIN KEHTAA BAABAA
QAIDI KEHTAA HAI KOI KOI YATIMAA BAABAA

NEEL RUKHSAARON PE BINAAYI BHI JISKI KAM HO
UMR HO CHAAR BARAS AUR KAMAR ME KHAM HO
AAP NE DEKHI HAI KYAA AISI ZAEEFAA BAABAA

KHUNE BESHIR SE ANDAAZAA KIYAA THAA MAINE
AAP KAA CHEHRAA TO PEHCHAAN LIYAA THAA MAINE
AAP PEHCHAANOGE KAISE MERAA CHEHRAA BAABAA

AAP KI LAASH SE TADPAA KE UTHAAYAA MUJHKO
SHIMR NE IS TARHA DURRE SE JAGAAYAA MUJHKO
PHIR MUJHE SHAAM TALAK GHASH NAHIN AAYAA BAABAA

DARD-E DIL MERE JO HOTAA THAA WO MAI KAISE KAHUN
LOG HANSTE THE MUJHE DEKH KE BAAZAAR ME YUN
BANGAYAA MERI YATEEMI KAA TAMAASHAA BAABAA

US GADI DHUNDH RAHI THI MAI CHACHAA JAAN KAA SAR
KAISE BATLAAWUN KE KYAA GUZRI TERI BETI PAR
MUJHKO ZAALIM NE KANIZI ME JO MAANGAA BAABAA

BEDIYAAN UTREGI KHUL SAB KE RASAN JAAENGE
BHAAI AMMAA AUR PHUPHIYAAN SAB WATAN JAAENGE
MAI HI REHJAAUNGI ZINDAAN ME TANHAA BAABAA