Anjuman E Sakina



AAJ PARDES ME EK AUR ALI MAARAA GAYAA
HAAYE PHIR RUH-E MUHAMMAD PE SITAM DHAAYAA GAYAA

WO JO ATHTHAARAA BARAS WAALAA ALI THAA LOGO
JISKAA BARCHHI SE HUWAA TUKDE KALEJAA LOGO
HAI WOHI HAAL KHURAASAAN KE ALI KAA LOGO
ZEHR SE ISKE KALEJE KO BHI HAI KAATAA GAYAA
AI MERE MAULAA RAZAA HAAYE GHAREEBUL GHURABAA

JISKAA CHHE MAAH KAA SIN THAA WO ALI JAAN-E PADAR
JISNE UGLAA THAA LAHU TEER SITAM KAA KHAAKAR
YE ALI BHI TO UGALTAA HAI YAHAAN KHUN-E JIGAR
APNE HI KHUN ME ISKO BHI HAI NEHLAAYAA GAYAA
AI MERE MAULAA RAZAA HAAYE GHAREEBUL GHURABAA

WO ALI BAAD-E MUHAMMAD JO WALI-E KUL THAA
USKI MASNAD PE KIYAA BAANI-E SHAR NE QABZAA
AUR PACHCHIS BARAS HAQ SE JO MEHROOM RAHAA
IS ALI SE BHI USI HAQ KO HAI PHIR CHHINAA GAYAA
AI MERE MAULAA RAZAA HAAYE GHAREEBUL GHURABAA

THI JO ATHTHAARAA BARAS WAALE ALI KI HAMSHEER
YE TARASTI HI RAHI BHAAI KI GHURBAT KI ASEER
YUN KHURAASAAN KE ALI KI BHI BAHEN HAI DILGEER
ISKO BHI BHAAI KI FURQAT ME HAI RULWAAYAA GAYAA
AI MERE MAULAA RAZAA HAAYE GHAREEBUL GHURABAA

CHHE MAHINE KAA ALI JAISE RAHAA TASHNAA DAHAAN
CHALBASAA PYAASAA MAGAR PAAYAA NAHIN AAB-E RAWAAN
IS ALI KI BHI USI TARHA SE HAI KHUSHK ZABAAN
YE BHI DUNIYAA SE USI TARHA BOHOT PYAASAA GAYAA
AI MERE MAULAA RAZAA HAAYE GHAREEBUL GHURABAA

TOOTNE SE DILE PURDARD ME BARCHHI KI ANI
JAISE TADPAA THAA WO ATHTHAARAA BARAS WAALAA ALI
EDIYAAN HAAE RAGADTAA HAI ZAMEEN PAR YE BHI
IS ALI KO BHI USI TARHA SE TADPAAYAA GAYAA
AI MERE MAULAA RAZAA HAAYE GHAREEBUL GHURABAA

SHEHR-E KUFAA HO YAA PHIR KARBOBALAA KAA SEHRAA
SHAAM HO YAA HO KHURAASAAN YAA PHIR SAAMARRAA
HAAYE PARDES ALI KO NA KABHI RAAS AAYAA
AAJ PARDES ME EK AUR ALI MAARAA GAYAA
AI MERE MAULAA RAZAA HAAYE GHAREEBUL GHURABAA