PEHLU SHIKASTAA FAATEMAA KIS SE KARE BAYAAN
DAR IS TARHAA GIRAAYAA KE TOOTI HAI PASLIYAAN
HAR SHAB KO APNE HAAL PAR ROTI HAI FAATEMAA
LAIKIN KABHI ALI SE NA SHIKWAA KOI KIYAA
DARD-E GHAM PEHLU KAA SEHKAR FAATEMAA KHAAMOSH HAI
ZAKHM YE DEKHE NA HAIDAR FAATEMAA KHAAMOSH HAI
PASLIYAAN TOOTI HUWI HAI DARD KI HAI INTEHAA
KAR RAHI HAI BAITH KAR APNI NAMAAZON KO ADAA
KAB KOI SHIKWAA HAI LAB PAR FAATEMAA KHAAMOSH HAI
DIL PE MOHSIN KI SHAHAADAT KAA ABHI TAAZAA HAI GHAM
MUNTAZIR HAI MOUT KI AUR ASHK SE AANKHEN HAIN NAM
GHAM SABHI APNE CHHUPAA KAR FAATEMAA KHAAMOSH HAI
KHOUF HAI IS BAAT KAA DEKHEN NA CHEHRAA MURTAZAA
NEEL ZAALIM KE TAMAACHAA KAA HAI BIBI KE PADAA
DARD KI TASWEER BANKAR FAATEMAA KHAAMOSH HAI
BAZ-ATU MINNI KAHAA JISKO NABI-E PAAK NE
HAIF KE UMMAT NE HAR LAMHAA SATAAYAA HAI USE
QABR ME ROE PAYAMBAR FAATEMAA KHAAMOSH HAI
YAAS SE MAADAR KO APNI DEKHTE HAIN MUJTABAA
ROKE YE BAABAA SE KEHTE HAIN SHAH-E KARBOBALAA
KYUN MERI AAWAAZ SUNKAR FAATEMAA KHAAMOSH HAI
AAKE UMMAT NE JALAAYAA FAATEMAA ZAHRAA KAA GHAR
DEKH KAR HAIDAR KO TANHAA KHUN ROTAA HAI JIGAR
QALB PE CHALTAA HAI KHANJAR FAATEMAA KHAAMOSH HAI
AAYI THI HAQ LENE ZAHRAA ZULM KE DARBAAR SE
KAR DIYE TUKDE SANAD KE BEHAYAA BADKAAR NE
BIKHRE TUKDON KO UTHAAKAR FAATEMAA KHAAMOSH HAI
KIS TARHAA RAIHAAN KOI GHURBAT-E ZAHRAA LIKHE
YE WO MAZLOOMAA HAI JIS PAR ZULM AB TAK NA RUKE
ROTAA HAI DAANISH BHI LIKH KAR FAATEMAA KHAAMOSH HAI