AAJ RUKHSAT HO RAHI HAI TUMSE ZAHRAA YAA ALI
PARDA-E SHAB ME MERAA LAASHAA UTHAANAA YAA ALI
PASLIYAAN TODI GAYI KAISE YE BATLAAUNGI MAI
HASHR KE MAIDAAN ME BHI IS HAAL ME AAWUNGI MAI
HAATH PEHLU SE NA TUM MERAA HATAANAA YAA ALI
WO MUSIBAT AAP NE ACHHAA HUWAA DEKHAA NAHIN
AB MAI SIDHE HAATH SE TASBIH BHI PARH SAKTI NAHIN
AISAA KUNFUZ NE HAI MAARAA TAAZIYAANAA YAA ALI
KEHTI HAI ZAINAB YE MUJH SE DEKH KAR CHEHRAA MERAA
AAP KE RUKHSAAR PAR YE NEEL HAI KAISAA PADAA
MAINE KHAAYAA HAI TAMAACHAA MAT BATAANAA YAA ALI
TAAZIYAANE KI AZIYYAT KO UTHAANAA EK TARAF
WO TAMAACHE QATL-E MOHSIN DAR JALAANAA EK TARAF
SAB SE MUSHKIL THAA MAGAR DARBAAR JAANAA YAA ALI
JAB MERI TALQEEN PARHNAA YAAD KARLENAA ZARAA
DAR KE GIRNE SE MERAA BAAZU BHI HAI TUTAA HUWAA
MERE SHAANON KO ZARAA DHEER-E HILAANAA YAA ALI
CHAAHE AAJAAYE QAYAAMAT MUJHSE YE WAADAA KARO
JAB TALAK MAULAA MERE SHABBIR KI MARZI NA HO
TAB TALAK MERAA JANAAZAA MAT UTHAANAA YAA ALI
JAB SE AAYI HUN PALAT KAR FIKR HAI MUJHKO YEHI
MAI TO PARDE ME GAYI PHIR BHI ZAEEFAA HOGAYI
BERIDAA DARBAAR HAI ZAINAB KO JAANAA YAA ALI
KARBALAA ME JAB MERE MAZLOOM PAR KHANJAR CHALE
PYAAS KE AALAM ME JAB GHAAZI KO WO AAWAAZ DE
MAI BHI AAWUNGI WAHAAN PAR TUM BHI AANAA YAA ALI
HAATH PEHLU PAR RAKHE BOLI TAKALLUM FAATEMAA
MAI DUAA KARTI HUN TUM AAMEEN KEHDENAA ZARAA
JALD AAYE MERE MAHDI KAA ZAMAANAA YAA ALI