Anjuman E Sakina



MAULAA EK BAAR HOJAAYE; TERAA DEEDAR HOJAAYE
NAZAR TARSI HAI SURAT KO; NIGAAHE YAAR HOJAAYE

HAIN JO MAALIK KHUDAA KE GHAR KE AI MAULAA
BHUTON KI TARHA UNKO BHI UTHAAKAR PHENK DE MAULAA
AYAAN CHEHRAA MUNAAFIQ KAA SAR-E BAZAAR HOJAAYE

BATAADE AAKE MAULAA HAI KYAA QUR’AAN AUR ITRAT
BASHAR KO CHUM LETE HAIN HARAM KO CHUMNAA BID-AT
ZARAA AISI HI GARDAN PAR TERI TALWAAR HOJAAYE

TAYAARI JANG KARNE KI RIYAASAT TAAN KAR BAITHE
TERI TALWAAR SE MARNE KAA WO ARMAAN KAR BAITHE
USI KHAIBAR KI TAAQAT KAA ZARAA IZHAAR HOJAAYE

HARAM KI KHAAK BHI UNKE KALEJON KO JALAATI HAI
TERI AAMAD KI KHUSH KHABRI BHI UNKO KAAT KHAATI HAI
TABAAH PHIR SE SAQIFAA KE DAR-O DIWAAR HOJAAYE

LARAZ UTHEGI DUNIYA INQILAAB-E HAQ KI SHIDDAT SE
KATEGI KAISE GARDAN KUFR KI MAULAA KI ZARBAT SE
SITAMGAR KI ZABAAN SE BHI SITAM IKRAAR HOJAAYE

YE PARDE HATKE NOOR-E HAQ NAZAR AAJAAYE DUNIYAA KO
SUKOON MILJAAYEGAA MAZLOOM-O BEKAS BESAHAARAA KO
YEHI HASRAT HAI PHIR KHAAK-E SITAM MISMAAR HOJAAYE

HAI SHAAHID KI ZABAAN PAR BAS SADAA-E AL AJAL MAHDI
SUNAAWO YUSUF-E ZAHRAA KI KHIDMAT ME ZARAA MOMIN
KABHI MUMKIN NAHIN KHWAAHISH TERI BEKAAR HOJAAYE