HAAE JAAFAR-E SAADIQ HAAE JAAFAR-E SAADIQ
KAAZIM UTHAA RAHE HAIN BAABAA KAA JANAAZAA
HAAE HUSAIN KEHKAR AANSU BAHAA RAHE HAIN
TAABUT KO UTHAAKAR JITNE QADAM BARHAAYE
HAR EK QADAM PE UNKO SAJJAAD YAAD AAYE
AABID KI BEBASI KAA NAUHAA SUNAA RAHE HAIN
MANSOOR NE GHIZAA ME ZEHRE JAFAA DIYAA THAA
MAZLOOM KE BADAN PAR ISKAA ASAR HUWA THAA
AFLAAK SE MALAAEK PURSE KO AARAHE HAIN
NIKLAA DAHAN SE BAAHAR HAAE JIGAR JO KAT KAR
KHUN RANG HOGAYAA THAA MAULAA KAA MERE BISTAR
MANZAR YE EHLE DIL KE DIL KO DUKHAA RAHE HAIN
HAIDAR SE DUSHMANI YE AB TAK NAHIN RUKI HAI
MAULAA HASSAN SE LEKAR JAAFAR TAK AAGAYI HAI
HAR EK CHARAAGHE ZEHRAA ZAALIM BUJAA RAHE HAIN
AWLAADE SAYYADAA ME AISAA HAI YE JANAAZAA
JIS ME MADINE WAALE DENE KO AAYE PURSAA
EHLE MADINAA SAARE YE GHAM MANAA RAHE HAIN
SAADIQ KE ZEHN ME BHI KAAZIM KAA HAI JANAAZAA
LAASHA UTHAANE WAALAA WAARIS KOI NA HOGAA
ZER-E KAFAN BHI JAAFAR KHUN ROTE JAA RAHE HAIN
SALMAAN AUR MISAM DEKHAA YE KHWAAB AKSAR
BAAD-E ZAHOOR-E MAULAA MEHDI BAQI ME AAKAR
ZAHRAA KAA AUR INKAA ROUZAA BANAA RAHE HAIN