WO KARBALAA WO SHAAM-E-GHARIBAAN WO TEERAGI
AAYAA WO EK SAWAAR QAREEB-E-KHAYAAME SHAAH
BETI ALI KI GHAYZ SE SU-E FARAS BARHI
HAR CHAND SAABIRA THI BOHOT BINTE FATIMA
DEKHAA ALI KO LAB PE YEH FARIYAAD AAGAYI
ZAINAB NE KAHAA BAAP KE QADMON SE LIPAT KAR
AB AAYE HO BAABAA
JAB LUTGAYAA PARDES ME AMMAA KA BHARAA GHAR
AB AAYE HO BAABAA
BAABAA AGAR AANAA HI THAA KHAALIQ KI RAZAA SE
US WAQT NA AAYE
JAB KHAAK PE DAM TOD RAHAA THAA MERAA AKBAR
AB AAYE HO BAABAA
KAT KAT KE GIRE NEHR PAR JAB BAAZU-E-ABBAAS
AUR KOI NA THAA PAAS
US WAQT SADAA AAP KO DETAA THAA DILAAWAR
AB AAYE HO BAABAA
JAB FARSHE ZAMEEN BAAME FALAK LARZAA BAJAA THE
US WAQT KAHAAN THE
JAB BAAP KE CHILLU ME THAA KHOON-E-ALI ASGHAR
AB AAYE HO BAABAA
JAB BHAAI KAA SAR KAT-TAA THAA MAI DEKH RAHI THI
HAZRAT KO SADAA DI
SAR KHOLE HUWE ROTI THI MAI KHAIME KE DAR PAR
AB AAYE HO BAABAA
JAB LOG BACHAA LEGAYE LAASHE SHOHADAA KE
HAQ APNAA JATAA KE
BAS EK TAN-E-SHABBIR THAA PAAMAALI KI ZAD PAR
AB AAYE HO BAABAA
JAB SHAAM KE KAZZAAB HAME LUTRAHE THE
KHAIMON KO JALAA KE
AAP AAGAYE HOTE TO NA CHHINTI MERI CHAADAR
AB AAYE HO BAABAA
JAB BAALI SAKINAA KE GAUHAR CHHINE GAYE THE
LAGTE THE TAMAACHE
HASRAT SE MUJHE DEKHTI THI BAANU-E-MUZTAR
AB AAYE HO BAABAA
KYAA AAPNE FIRDAUS SE YE DEKHAA NA HOGAA
KYAA HASHR BAPAA THAA
JAB PUSHT SE BIMAAR KE KHENCHAA GAYAA BISTAR
AB AAYE HO BAABAA
EK RAAT KE MEHMAAN HAI PHIR QAID-O-SALAASIL
AB AANE SE HAASIL
BAAZAAR ME HAM SUBH KO JAAYENGE KHULE SAR
AB AAYE HO BAABAA