JAB AAKHERI RUKHSAT LEKE MERAA MAULAA HUSAIN KHAIME SE BAAHAR NIKLE
PICHHE PICHHE MAASUM SAKINAA; BAABAA AAP MUJHE KISKE SAHAARE CHHORE JAA RAHE
BAABAA MAI AAP KE SINE PE SONE KI AADHI HUN
GUTNIYON BAITHGAYAA MERAA MAULAA HUSAIN
SAKINAA KO PYAAR KAR KE GALE LAGAAKE, MAULAA FARMAATE HAI(N) MERE LAAL MAA KE SINE PE SOJAA
BIBI FARMAATI HAI BAABAA WAHAAN ALIASGHAR SOTAA HAI
JALTI RETI PE LETGAYAA MERAA MAULAA HUSAIN
SAKINAA KO SINE PE LITAAKE MERAA MAULAA FARMAATAA HAI
BETAA AAJ KE BAAD TARIQAA BADALNAA HOGAA; ASGHAR MERE SINE PE SOEGAA TU MAA KE SINE PE SOJAANAA
MUJHKO EK BAAR HI SINE PE SULAALO BAABAA
WAKHTE RUKHSAT JO SAKINAA NA SUKOON PAATI HAI
ROKE SHABBIR KE DAAMAN SE LIPAT JAATI HAI
BAS YEHI KEHTI HAI GODI ME UTHAALO BAABAA
AAP KYUN AAH MUJHE DEKH KE YUN BHARTE HAI
KYUN YATEEMON KI TARHA PYAAR MUJHE KARTE HAIN
PUCHHTI HUN NA MERI BAAT KO TAALO BAABAA
MAA SULAAEGI TUMHE AAJ YEH SHEH HAI KEHTE
BIBI AB NIND KE BHI TOUR BADALNE HONGE
BACHCHI KEHTI HAI GALE MUJHKO LAGAALO BAABAA
PYAASI HUN SHAAME GHARIBAAN ME BOHOT SABR KIYE
PAANI AB CHAAHIYE JALTE HUWE KURTE KE LIYE
AB LAB-E NEHR SE AMMU KO BULAALO BAABAA
KIS TARHA SHAAME GHARIBAAN ME SAKINAA SO-E
TEER HI TEER HAI SINE ME GADE BAABAA KE
SO SAKU ITNI JAGAA TUM HI BANAALO BAABAA
JAANE KYAA KEHTE HAIN WO ASHQ KI TEHREERON ME
BHAYYAA SAJJAAD HAI JAKDE HUWE ZANJEERON ME
BERIDAA PHUPHIYAAN HAI BHAYYAA KO SAMBHAALO BAABAA
EK EK SAANS ME SADIYON KAA SAFAR LAGTAA HAI
SHIMR AAJAAYE NA BAABAA MUJHE DAR LAGTAA HAI
APNI AAGHOSH ME BETI KO CHHUPAALO BAABAA
BHAIYYAA SAJJAAD HAI ZANJEER-E JAFAA ME JAKDE
RASSIYON SE HAI BANDHE HAATH PHUPHI AMMAA KE
MUJHKO ZAALIM KE TAMAACHON SE BACHAALO BAABAA
AISI TANHAAI KAHAAN AALAM-E IMKAAN ME HAI
EK BACHCHI KI LAHED AAJ BHI ZINDAAN ME HAI
HAI SADAA PAAS MUJHE AB TO BULAALO BAABAA
HAI QAMAR JALD HO AB MAHDI-E AAKHIR KAA ZAHOOR
EK LAHED SE YEHI AATI HAI SADAA-E MAJBOOR
QAID KHAANE KI AZIYYAT SE NIKAALO BAABAA