Anjuman E Sakina



PATAA HAI KIS TARHAA BETAA JAWAAN HOTAA HAI
TADAP KE LAASHA-E AKBAR PE BOLE SIBTE NABI
HAMAARE NUR-E NAZAR KO LAGI NAZAR KISKI
SITAM GHAREEB MUSAAFIR PE YE MAZEED KIYAA
BATAAWO KISNE MERE SHER KO SHAHEED KIYAA

SINAA KALEJE PE AKBAR KE MAARNE WAALE
PATAA HAI KIS TARHAA BETAA JAWAAN HOTAA HAI

BADE HI NAAZ SE PAALAA HAI YE JAWAAN PISAR
YE MERE GHAR KAA UJAALAA YE MERAA NUR-E NAZAR
YE MERAAA HASLIYON WAALAA RIYAAZATON KAA SAMAR
LAHU ME DUBAA HUWAA EDIYAAN RAGADTAA HAI

YE MERI GOD ME QUR’AAN KI TARHA REHTAA THAA
YE NOOR BANKE MERI AANKH ME CHAMAKTAA THAA
YE SAAYAA BAN KE MERE SAATH SAATH CHALTAA THAA
MERI SADAA PE NA KOI JAWAAB DETAA HAI

ALI KI BETIYAAN JULAA ISE JULAATI THI
HIJAABE NOOR ME LORI ISE SUNAATI THI
JANAABE UMME BANEEN ISKE NAAZ UTHAATI THI
AUR AB HUSAIN YAHAAN ISKI LAASH UTHAATAA HAI

JO BACHPANE ME PAKAD KE YE MERAA HAATH CHALAA
WO HAATH UTHAAKE ISE DI THI ZINDAGI KI DUAA
KHABAR NA THI KE MUJHE YE BHI DEKHNAA HOGAA
KE AAJ HAATHON PE AKBAR TERAA JANAAZAA HAI

BATAAWO TUMME KOI HO JO SAAHIBE AWLAAD
JAWAAN LAAL HO JISME HAI WOHI GHAR AABAAD
SITAMGARON NE KIYAA HAAE MERAA GHAR BARBAAD
HAWAA-E ZULM SE GHAR KAA CHARAAGH BUJH TAA HAI

HAMAARE SINE SE NIKLAA HAI DIL LAHU ROTAA
AUR APNE KHAIME SE NIKLI HAI ZAINABE KUBRAA
NAJAF SE NIKLE ALI AUR MADINE SE NAANAA
JAB ISKE SINE SE BARCHHI KAA PHAL NIKAALAA HAI

SALAAM-E AAKHERI MUJHKO KIYAA THAA JAB ISNE
NA PUCHH HAM SE KE AAYE YAHAAN PE HAM KAISE
KABHI UTHE KABHI MAQTAL KI KHAAK PE HAIN GIRE
ZAEEF BAAP SE YE GHAM KAHAAN SE UTH-TAA HAI

HUWAA HAI NAUHAA JO MISAM TERI ZABAAN SE ADAA
YE JOSHE GIRYAA-O MAATAM BATAA RAHAA HAI RAZAA
YE NAUHAA SUN-NE YAHAAN AAGAYE MERE MAWLAA
HAR EK ZABAAN PE AKBAR TERAA HI NAUHAA HAI