YAA RAB BEHAQQE ZAHRAA TAUFEEQ YE ATAA HO
MARNE SE PEHLE YAA RAB DEEDAAR-E KARBALAA HO
JO ARZE KARBALAA HAI HAR ARZ SE SIWAA HAI
IS KHAAKE KARBALAA ME SHEH KAA LAHU MILAA HAI
HAR LAA DAWAA MARAZ KI YE KHAAK HI DAWAA HO
YAA RAB NAMAAZE SHAB ME BAS YE DUAA KARUN MAI
KUCHH DER US ZAMEEN PAR MAJLIS BAPAA KARUN MAI
HAR MAATAMI KE LAB PAR HAR DAM DUAA HO
MAZLOOMIYAT PE JISKI ROTAA HAI YE ZAMAANAA
US BEKHATAA KE DAR PAR EK BAAR TO HAI JAANAA
JO KARZ HAI LAHU PAR WO IS TARHAA ATAA HO
WO SAR ZAMEEN JAHAAN PAR GUNJI AZAANE AKBAR
TASBEEH HI AANSUON KI PARHNI HAI US ZAMEEN PAR
EK SAJDA-E-AQEEDAT US KHAAK PAR ATAA HO
NANNHI SI JIS LAHED ME SOYAA HAI AB BHI ASGHAR
USPAR CHARHAAUNGAA MAI PHULON KI EK CHAADAR
PURSAA WAHAAN HO AISAA PEHLE NAHIN HUWAA HO
SAJDAA JAHAAN KIYAA THAA MAZLOOME KARBALAA NE
JAADAA THAA JIS ZAMEEN KO BAALON SE SAYYADAA NE
JAB MAI WAHAAN PE JAAWUN HONTON PE DAM RUKAA HO
MAI BHI TO MAATAAMI HUN ZAAKIR HUN SAYYADAA KA
NAUHA PARHAA HAI MAINE HAMSHAKLE MUSTAFAA KAA
IS ZAAKERI KAA MERI QISMAT ME YE SILAA HO
QURBAAN HOGAYAA JO KULSOOM KI DUAA PAR
ROUZAA MAI USKAA DEKHUN JO MARGAYAA WAFAA PAR
GAR YE SHARAF BHI MERI TAQDEER ME LIKHAA HO