SHER-E KHUDAA KI LAASH HAI SU-E NAJAF CHALI
HAR SIMT EK SHOR HAI MAWLAA ALI ALI
SHAAHZAADE SHAAHZAADIYAAN BAABAA KO ROTE HAI
HAQ KE WALI KO KHALQ KE MAWLAA KO ROTE HAI
ZEHRAA KE GAR MEN KAI-SI MUSIBAT YE AAGAYI
DIWAARO DAR HAI NAWHAA KUNAA SHEHR SOGWAAR
SAR KO PATAK TE JAATE HAI MAWLAA KE JAAN NISAAR
EK TEGH-E ZEHR BAAR SE DUNIYAA UJAAD DI
MAZLUMIYAT KAA HAQKAA MADAD GAAR CHAL BASAA
BEWAAON KAA YATIMON KAA GHAM KHWAAR CHAL BASAA
MUSHKIL KUSHAA JUDAA HUWAA MUSHKIL YE AAGAYI
ZAINAB KI NAZREN BAABAA KO PAAENGI AB KAHAAN
KULSUM ROTI JAATI HAI LE-LE KE HINCH-KIYAAN
BAABAA KI YAAD AATI HAI HAR WAQT HAR GADI
LO SOGWAARO MEHR-E WILAAYAT IMAAM KI
KAANDHON PE LAASH UTHAAWO TUM ZAKHMI IMAAM KI
KEHT E CHALO YAHAAN SE NAJAF TAK ALI ALI