AY MUSA-E KAAZIM YAA MUSA-E KAZIM
HAAE KIS BEKAS KAA LAASHAA HAI PUL-E BAGHDAAD PAR
KISKO ZANJEERON NE JAKDAA HAI PUL-E BAGHDAAD PAR
BEWATAN MAZLOOM KI HAI LAASH BEGORO KAFAN
PHIR SE MANZAR KARBALAA KAA HAI PUL-E BAGHDAAD PAR
KYUN NA ROE BAAL BIKHRAAE HUWE HURAAN-E KHULD
FAATEMAA KE DIL KAA TUKDAA HAI PUL-E BAGHDAAD PAR
QAID ME JISNE GUZAARE UMR KE CHOUDAA BARAS
HAAN USI QAIDI KAA LAASHAA HAI PUL-E BAGHDAAD PAR
DEEN KAA WAARIS HAI ISKI LAASH UTHAANE KE LIYE
KOUN MAZDURON KO LAATAA HAI PUL-E BAGHDAAD PAR
SHEHRE KUFAA KI TARHA HAR BAAR SHAAMI KI TARHA
ZULM PHIR CHEHRAA DIKHAATAA HAI PUL-E BAGHDAAD PAR
AI MUSADDIQ AAJ BHI JAATAA HUN MAI JAB KAAZMAIN
JAANE KYUN YE DIL LARAZTAA HAI PUL-E BAGHDAAD PAR