CHAADAR KAA KHAYAAL AATE HI ZAINAB KO GHASH AAYAA
BAAZAAR JAB AAYAA
SAB BIBIYON NE CHEHRON KO BAALON SE CHHUPAAYAA
BAAZAAR JAB AAYAA
DEKHO YE TAMAASHAAI KHADE HANSTE HAIN HAM PAR
BARSAATE HAIN PATHAR
LOUT AAYI SAKINAA KI SADAA KOI NA AAYAA
BAAZAAR JAB AAYAA
BAS NAADE ALI PADTI GAYI SAR KO JUKAAYE
PATHAR KAHIN AAYE
KHUN SAR SE TAPAKTAA RAHAA PAR SAR NA UTHAAYAA
BAAZAAR JAB AAYAA
MAQNAA HAI NA CHAADAR KAHO SAR KAISE CHHUPAAYE
AB HAM KAHAAN JAAYE
SAJJAAD KO ZAINAB NE KARIB APNE BULAAYAA
BAZAAR JAB AAYAA
KYUN DER SE AAYI NAHIN ZANJEER KI JANKAAR
KYAA AAGAYAA BAAZAAR
YE PUCHHNE DIL THAAM KE FIZZAA KO BULAAYAA
BAZAAR JAB AAYAA
HAM EHLE HARAM KO YE TAMAASHAAI BARAABAR
DEKHENGE KHULE SAR
KULSUM KO IS KHOUF NE TASWEER BANAAYAA
BAZAAR JAB AAYAA
BIMAAR JO BAAZAAR ME THAA SAR KO JUKAAYE
DURRE JO LAGAAYE
SAR TAA-BA QADAM KHUN ME BIMAAR NAHAAYAA
BAZAAR JAB AAYAA
KI SHAAMIYON NE KAISI YE MAZLUMON KI KHAATIR
AAYE JO MUSAAFIR
PATHAR HI BARASTE THE KAHAAN THAA KOI SAAYAA
BAZAAR JAB AAYAA
KIS TARHA NAWED AAH LIKHUN SHAAM KI MANZIL
PHAT-TAA HAI MERAA DIL
NAUHAA JO YE LIKHAA HAI TO DIL KHUN SE BHAR AAYAA
BAAZAAR JAB AAYAA