Anjuman E Sakina



YEHI HAI SAKINA YEHI FAATEMAA HAI
YEHI DUKHTARE SHAAHE KARBOBALAA HAI
YEHI HAI RUQAYYAA YEHI SAYYADAA HAI

YE BAABAA KO MAIDAAN MEN HAI RONE WAALI
YE CHHUP CHHUP KE ZINDAAN MEN HAI RONE WAALI
ISI SE HAI NAUHAA ISI SE AZAA HAI

WOH SHAAME GHARIBAAN WOH BAALI SAKINAA
KAHAAN SHEH KAA SINAA KAHAAN WOH HAZINAA
AJAB HU KAA AALAM HAI KAALI GATAA HAI

MADINE SE NIKLI BHARE GHAR KE HAMRAAH
MAGAR REHGAYI SHAAM MEN JAAKE TANHAA
PHUPHI KO WAHAAN JAAKE REHNAA PADAA HAI

PHUPHI MAA BAHAN AUR LAACHAAR BIRAN BANDHE SAB KE BAAZU TO BACHCHI KI GARDAN GALE SE SAKINAA KE KHUN RISS RAHAA HAI
MAZAALIM KI RUDAAD IS NE SUNAAYI ISI NE HARAM KO RIHAAI DILAAYI MAGAR KHUD YE ABTAK ASIRE BALAA HAI
KABHI TAAZIYAANAA KABHI SEHLIYAAN HAI
TAMAACHE LAINON KE AUR GUDKIYAAN HAI
YE ISKE KHILONE YE AABO GHIZAA HAI

WATAN KO CHALE SAB SIWAAE SAKINAA
YE MAZLUM BACHCHI NA POHNCHI MADINAA
KAHAAN SHAAMO KUFAA KAHAAN KARBALAA HAI