Anjuman E Sakina



AI SHAAM KE LOGO MAI BINTE ALI HUN
MAI WAARISE TATHEER HUN NAAMUSE NABI HUN

BAAZAAR SE DARBAAR ME LE AAYE HO MUJHKO
CHAAHU TO JALAA SAKTI HUN KHUTBON SE MAI TUMKO
SAABIR KI BAHEN HUN JO MAI, KHAAMOSH KHADI HUN

AFSOS KANEEZI ME USE MAANG RAHE HO
TUM JISKE GHULAAMON KI GHULAAMI ME RAHE HO
YE ZULM NA HOGAA KABHI MAI ZINDAA ABHI HUN

TUM APNE PAYAMBAR KO AGAR DEKHNAA CHAAHO
NEZE PE JO YE SAR HAI ISE GHOUR SE DEKHO
HAM SHAKLE PAYAMBAR HAI YE MAI ISKI PHUPHI HUN

AUR IS SE KATHAN WAQT KYAA HOGAA MERE MAABUD
FIZZAA KE TARAFDAAR HAIN DARBAAR ME MOUJUD
MAI PUSHT PE FIZZAA KE KHADI DEKH RAHI HUN

ZEHRAA KO BHI DARBAAR ME TUMNE THAA BULAAYAA
DARBAAR ME MAI BHI HUN MAGAR FARQ HAI ITNAA
PARDE ME THI WO AUR MAI BEPARDAA KHADI HUN

ZANJEERON ME JAKDAA JO YE BIMAAR KHADAA HAI
SAJDAA ISE KAABE KI FASEELON NE KIYAA HAI
MANSAB ME BADAA WO HAI MAI RISHTE MAI BADI HUN

ZINDAA THAA TO DAR DAR KE HAMESHAA HI LADE HO
AB SAR HAI TO HONTON PE CHHARI MAAR RAHE HO
TUM KITNE BAHAADUR HO MAI YE DEKH RAHI HUN

HONE LAGI DARBAAR ME MUSHTAHAR KAA AZAANEN
RAIHAAN IDHAR NAAME NABI GUNJAA FIZAAN ME
BIBI NE KAHAA FAKHR SE MAI JEET GAYI HUN