INKAAR AASMAAN KO HAI RAAZI ZAMEEN NAHIN
ASGHAR TERE LAHU KAA THIKAANAA KAHIN NAHIN
MAIDAAN ME GARMI HAI MATTI HAI DHUL HAI
JALTI HAI YE ZAMEEN TU NANNAA SAA PHUL HAI
GOYAA PISAR KI LAASH SE SIBTE RASOOL HAI
JALTI HAI YE ZAMEEN TU NANNAA SAA PHUL HAI
ASGHAR KI QABR KHOD KAR ROTE RAHE HUSAIN
KEHTE THE HAAYE LAKHTE JIGAR MERE DIL KE CHAIN
TERE LIYE HUSAIN BOHOT DIL MALOOL HAI
KHAIME KE SIMT KIS TARHA JAAUN MERE PISAR
KIS TARHA TERE MARG KI BANU KO DUN KHABAR
USKO TERE BAGHAIR TO MARNAA QUBOOL HAI
JHULAA JHULAANE WAALI KO KAISE BATAAUNGAA
BANU SE IS KHABAR KO MAI KAISE CHHUPAAUNGAA
ZAINAB BHI MUNTAZIR HAI JO BINTE BATOOL HAI
AB HAM BHI MARNE JAATE HAIN AI LAAL ALWIDAA
LAASHAA HAMAARAA HONAA HAI PAAMAAL ALWIDAA
BACH JAAYE DEEN NAANAA KAA MEHNAT WUSOOL HAI
AI FOUJ-E-KIBRIYAA KE MUJAAHID TUJHE SALAAM
KYAA SHAANE BEZUBAANI SE TUNE KIYAA KALAAM
TAARIKHE GUFTAGU KAA ANOKHAA USOOL HAI
RAIHAAN NAUHAA GOYI NE FARHAAN KARDIYAA
MAZBUT AUR BHI MERAA IMAAN KARDIYAA
MIT JAAYE ZIKRE SHAAH YE AADAA KI BHOOL HAI