ABBAAS NA AAYE MERE ABBAAS NA AAYE
DIN DHAL GAYAA AUR BADH-NE LAGE SHAAM KE SAAYE
BAITHE HAI HARAM KHAAK PE SAR APNAA JUKAAE
BE SAAKHTAA ZAINAB KE SUKHAN LAB PE YE AAYE
TUMTO MERE PARDE KE MUHAAFIZ HO MERI JAAN
BE PARDA-Gl KAA HONE KO AB HAI MERE SAAMAAN
AB KOI NAHIN JO MERE PARDE KO BACHAAYE
EK KAMSIN-O MAJBUR HAZIN RANJ KI MAARI
BAITHI ‘HAI ISSI AAS PE AMMU KI DULAARI '
DARIYAASE CHACHAA AAKE MERI PYAAS BUJAAYE
SHEH KEHTE THE AI MERE JAWAAN SHER-SE BHAAI
EK BAAT BATAAWO MUJ-HE AI MERE FIDAAI
PIRI MEN JAWAAN LAASH KOI KAISE UTHAAYE
MAARAA GAYAA DARIYAAPE ALAMDAARE SAKINAA
AMMU KO NA AB PAAWOGI GHAM-KHWAAR SAKINAA
YE BAAT BHALAA KOVN SAKINAA KO BATAAYE
KHAIMON MEN LAGI AAG TO ZAINAB NE PUKAARAA
DARIYAASE CHALE AAWO MERE BHAAI KHUDAARAA
JALTE HUWE KHAIMONSE HAMEN KOVN BACHAAYE
GAR LUT TAA RAHAA ROTI RAHI ZAINABE DILGIR
BHAAI KO BULAATI RAHI ABBAAS Kl HAMSHIR
MAJBUR-E MASHIYYAT MAGAR ABBAAS NA AAYE
SAB KUCHH HAI MERE PAAS GHAM-E SHEH KI BA-DAWLAT
TAABISH MERE DIL MEN HAI FAQAT EK HI HASRAT
SAAJID MUJ-HE NAWHAA DA-RE MAWLAA PE SUNAAYE