BAAD BAABAA KE SITAM ITNE SAHE ZEHRAA NE
DEKHE HAIDAR KO RASAN PEHNE HUWE ZEHRAA NE
TERE EHSAAN BHULAAE HAIN MUSALMAANON NE
QABRE MURSAL PE YEHI BAYN KIYE ZEHRAA NE
TUKDE TEHREER NABI KE SARE DARBAAR HUWE
SAATH SALMAAN KE WOH TUKDE CHUNE ZEHRAA NE
JAANTI GHAM DUKHI ZEHRAA KE FAQAT FIZZAA HAI
HAAN KISI AUR SE NAA SHIKWE KIYE ZEHRAA NE
DAR JO PEHLU PE GIRAA TO HUWI ZAKHMI BIBI
KHOYAA MOHSIN KO USI DAR KE TALE ZEHRAA NE
MAA KI MAYYAT PE JAB AAYI TO KHULE BANDE KAFAN
HAATH ZAINAB KE KHULE SAR PE RAKHE ZEHRAA NE
USKO KEHTAA HAI ZAMAANAA YE DUAA-E ZEHRAA
KURTE HAATHON SE SIYE JISKE LIYE ZEHRAA NE
MERI AWLAAD HAWAALE HAI TUMHAARE FIZZAA
WAQTE AAKHIR THE YEHI LAFZ KAHE ZEHRAA NE
HUWI MISMAAR JO BAQIYAA TO YE BOLI ZEHRAA
JELE TURBAT KE TALE ZAKHM NAYE ZEHRAA NE