MERE AAQAA AAWO KE MUDDAT HUWI HAI
TERI RAAH ME AKHIYAAN BICHHAATE BICHHAATE
TERI HASRATON MEN TERI CHAAHATON MEN
BADE DIN HUWE GHAR SAJAATE SAJAATE
MERAA HAI YE IMAAN YE MERAA YAQEEN HAI
MERE MUSTAFAA SAA NA KOI HASEEN HAI
KE RUKH UNKAA DEKHAA HAI JAB SE KAMAR NE
NIKALTAA HAI MUNH KO CHHUPAATE CHHUPAATE
MERE LAB PE MAULAA NA KOI SADAA HAI
FAQAT IS NIKAMME KI YEHI SADAA HAI
MERE SAANS NIKLE DARE MUSTAFAA PE
GHAME DIL NABI KO SUNAATE SUNAATE
YE DIL JAB SE ISHQE NABI ME PADAA HAI
NA DIN KI KHABAR HAI NA SHAB KAA PATAA HAI
AAQAA AB TO BASAARAT BHI KAM HOGAYI HAI
TERE GHAM ME AANSU BAHAATE BAHAATE
QAYAAMAT KAA MANZAR BADAA PUR KHATAR HAI
MAGAR MUSTAFAA KAA JO DIWAANAA HOGAA
WO PUL SE GUZAR JAAEGAA WAJD KARTE
NAARAA NABI KAA LAGAATE LAGAATE
YE MAANAA KE EK DIN AANI QAZAA HAI
MAGAR DOSTON TUM SE YE ILTIJAA HAI
KE SHEHRE MUHAMMAD KI HAR EK GALI SE
JANAAZAA UTHAANAA GUMAATE GUMAATE
NA KAABE SE MATLAB NA MASJID KI CHAAHAT
FAQAT DIL ME HAAKIM TAMANNAA YEHI HAI
JO MILJAAE NAQSHE KAFE PAA-E AHMAD
TO MARJAAUN SAR KO JUKAATE JUKAATE