GAR HON MERI HAYAAT MERE IKHTIYAAR MEN
SADIYAAN GUZAAR DUNGAA TERE INTEZAAR MEN
MAULAA AB AAP PARDA-E GHAIBAT UTHAAIYE
DO DIN TO ZINDAGI KE GUZAARUN BAHAAR MEN
ISS WAQT GHAR CHE ADL SE KHAALI ZANEEN HAI
MAZLUM KE MAKAAN MEN ZAALIM MAKEEN HAI
DUNIYAA SITAM SHA-AAR HAI MAGHLUB DEEN HAI
MAULAA ZARUR AAYENGE MUJHKO YAQEEN HAI
AAYENGE KUCHH KAMI NA MERE AITBAAR MEN
SAB LOG KHWAAHISHAAT KE AB HOGAYE GHULAAM
IBLISIYAAT KAA DAUR HAI BE-PARDAGI HAI AAM
PIN-E LAGE LAHU HAI TO KHAANE LAGE HARAAM
KEHTAA HAI DIL KE BAS ABHI AAJAAIYE IMAAM
GAR DER HAI MASHIYYAT-E PARWARDIGAAR MEN
MUSHKIL KE WAQT HAMNE PUKAARAA HAI YAA HUSAYN
GHAIBAT KE IMTEHAAN MEN SAHAARAA HAI YAA HUSAYN
QURAANE EHLE BAYT KAA PAARAA HAI YAA HUSAYN
HAQ NE HAMAARE DIL PE UTAARAA HAI YAA HUSAYN
REHKAR DUAA-E BINTE NABI KE HISAAR MEN
ISS DAUR PUR-KHATAR MEN HAI DUSHWAAR MANZILEN
MAULAA ISS IMETEHAAN MEN DILKO SUKOON DE
ROZAA NAMAAZ-O HAJJ KE MANAASIK ADAA KAREN
HAM SHAAM-O KARBALAA KI ZIYAARAT KO JAA SAKE
AA JAAYEGAA QARAAR DILE BEQARAAR MEN
KHUDHKASH HAI BUMB DHAMAAKE HADDE ZULMO JOR HAI
KUCHH SAAMNE HAI AUR PASE MANZAR KUCHH AUR HAI
ABHI YAZIDIYAT KE MAZAALIM KE TAUR HAI
GAR CHE YEH MOMINEEN PE MUSHKIL KAA DAUR HAI
DUNIYAA KE DARD-O GHAM HAI BHALAA KIS SHUMAAR MEN
EHLE AZAA KO JURRATO TADBIR CHAAHIYE
DEKHAA HAI KHWAAB, KHWAAB KI TAABIR CHAAHIYE
TASQINE QALB-E MAADARE SHABBIR CHAAHIYE
AB JANNATUL BAQII KI TAAMIR CHAAHIYE
AA JAAYEGI BAHAAR ISS UJDE DAYAAR MEN
ALFAAZ SE DILON PE HUKUMAT MILI MUJHE
MAZLUMI-E HUSAYN SE TAAQAT MILI MUJHE
MIMBAR MILAA HUSAYN KAA IZZAT MILI MUJHE
BADLE MEN EK ASHQ KE JANNAT MILI MUJHE
GHAATAA KABHI HUWAA NAHIN ISS KAAROBAAR MEN
DAR PAR TUMHAARE HOTE HAIN HAR ROZ MOJIZEN
KITNE AMEER HOGAYE ISS DAR KI BHEEKH SE
SAB APNE APNE HISSE KI KHAIRAAT LE GAYE
ZIKRE IMAAME ASR MEN HISSAA QAMAR MILE
MAI MUT-MAIN HUN MAI BHI KHADAA HUN QATAAR MEN