ZINDAAN KI TAARIKI ME MAASOOM SAKINAA
AB TAK TALAASH KARTI HAI WO BAABAA KAA SINAA
HANGAAMA-E KARBAL ME KOI BAAT HUWI NAA
BAAD ASR KE BAABAA SE MULAAQAAT HUWI NAA
DUSHWAAR HUWAA BACHCHI KAA IS HAAL ME JINAA
FARIYAAD JO BIBI NE KARI KHAAYE TAMAACHE
AFSOS KOI DE NA SAKAA ISKO DILAASE
SAMJHAA HI NAHIN KOI YE HAI KISKAA NAGINAA
DAAMAN BHI JALAA KURTE KAA KHUN KAANON SE JAARI
IS HAALE PARESHAANI ME ROTI HAI DULAARI
AFSOS MILAA BACHCHI KO AARAAM KAHIN NAA
RORO KE BUKAA KARTI HAI AB AAIYE BAABAA
PYAASI HUN KAEEN DIN SE NA TADPAAIYE BAABAA
IS GOR ANDHERE ME NA MARJAAYE HAZINAA
GUM HOGAYI ZINDAAN KE ANDHERE ME SADAAEN
CHUP HOGAYI BACHCHI KI SISAKTI HUWI AAHEN
AB SOGAYI ZINDAAN ME MAZLOOM SAKINAA
AFSOS KAFAN SE BACHCHI MEHROOM RAHI HAI
BAABAA KI TARHA SE YE BHI MAZLOOM RAHI HAI
KHUN SE BHARE KURTE ME HI DAFNAAYI SAKINAA
YE TERI IBAADAT HAI ALI DEEP BAYAAN KAR
SAADAAT PE JO ZULM HUWE UNKO AYAAN KAR
MEHSHAR ME AMAL YE HOGAA BAKSHISH KAA KHAZINAA