GHABRAAYI HAI ZAINAB AAYAA HAI MADINAA
LABREZ HAI GHAM SE HAR BIBI KAA SINAA
EK SAAL GUZAARAA HAI ZINDAANE SITAM ME
DIN BAAQI GUZAAREGI ZAINAB ISI GHAM ME
MAQTAL ME HAI ASGHAR ZINDAAN ME SAKINAA
AI EHLE MADINAA TUM KHAAMOSH HI REHNAA
ZAINAB SE KHUDAARAA TUM EK LAFZ NA KEHNAA
JO SAANSE BACHI HAI KHO DEGI HAZINAA
YE SONCH KE ROTI HAI BIMAAR HAI SUGHRAA
HAR FARD KE BAARE ME AB PUCHHEGI DUKHIYAA
AISAA NA HO SUNKAR MARJAAYE HAZINAA
HAR BAAT BATAADUNGI JAB PUCHHEGI SUGHRAA
BAALON KI SAFEDI KAA BATLAAUN SABAB KYAA
THAA IS SE TO BEHTAR ZINDAAN ME JINAA
JAB PURSAA MUJHE DENGE SAB LOG WATAN KE
KIS TARHA CHHUPAAUNGI YE NEEL RASAN KE
EHWAAL SAFAR KAA KEHDE YE KAHIN NAA
HAR ZAKHM SUNAADEGAA EHWAAL SAFAR KAA
PHAT JAAE NA DIL USKAA JAB DEKHEGI SUGHRAA
PESHAANI-E-SAJJAAD AUR SURKH PASINAA
HUJRON ME JO JAAUNGI MAI AUNO MUHAMMAD KE
IS DIL KO RULAAENGE BACHON KE MUSALLE
DIL SHIDDATE GHAM SE PHAT JAAE KAHIN NAA
SAB KUCHH TO LUTAA AAYI PARDES ME ZAINAB
MAZLOOMAA MUSAAFIR YE KYAA JI KE KARE AB
BIN BHAAI KE AB TO DUSHWAAR HAI JINAA
ZAINAB KI KHAYAALON ME AAWAAZ YE AAYI
MEHMIL SE UTAR KAR JAB FIZZAA NE SADAA DI
DIL THAAM LO BIBI LO AAYAA MADINAA
KEHTAA HAI JIGAR THAAME FARHAAN TADAP KAR
RUDAAD KARO MAZHAR BAS KHATM YAHIN PAR
GHABRAAYI HAI ZAINAB AAYAA HAI MADINAA