Anjuman E Sakina



HAAE YATEEME HUSAIN CHAL BASI DUNIYAA SE AAJ

YAA RAB SAGHEER SIN ME KOI BE PIDAR NA HO
BAABAA KISI KAA QATL HUZOORE NAZAR NA HO
PARDES ME YATEEM KOI DARBADAR NA HO
BALWE ME SHAAHZAADI KOI NANGE SAR NA HO
LUTI GAYI PIDAR SE CHHUTI BHAAI CHAL BASE
YE SAARE DUKH SAKINAA KE UPAR GUZAR GAYE

BINTE HUSAIN CHAL BASI PURSAA KOI NAHIN
TAARIK QAID KHAANAA HAI AUR FARSH HAI ZAMEEN
EK SHAMMA BHI JALAA NAHIN SAKTAA IMAAME DEEN
BAITHI HUWI HAI LAASH LIYE ZAINABE HAZEEN
ZINDAAN ME QABR KHOD-TE HAIN ZAINUL AABIDEEN
HOTI HAI DAFN SAYYADE BESAR KI NAAZNEEN

UMMAT KE JORO ZULM SE KYAA WAQT AA PADAA
REH REH KE KAAMP UTH-TE HAIN BIMAARE KARBALAA
GARDAN ME TOUQ NANHI BAHAN KAA YE SAANEHAA
AUR BEWON ME SAKINAA SAKINAA KI HAI SADAA
MAADAR TADAP RAHI HAI NAHIN EK DAM QARAAR
MILTI HAI AANKH QADMON PE LAASHE KE BAAR BAAR

MOHTAAJ EK RIDAA KO THAA NAAMUSE PANJATAN
MAI KYAA KAHUN SAKINAA KO KYUN KAR MILAA KAFAN
HANGAAME GHUSL HAAE GALE SE KHULI RASAN
MAYYAT KE SAATH ROTE CHALE QAIDI-E MAHAN
PAAYI JAGAA NA PEHLU-E QABRE IMAAM MEN
TAQDEER NE BANAAYI HAI QABR USKI SHAAM MEN

PHIR BOLI SAKINAA KI WO MAYYAT SE LIPAT KAR
AI BEKASO MAZLOOM PIDAR AASHIQE DAAWAR
TUM CHALBASI WAARI YE KHAYAAL AAYAA NA DILBAR
BAANU TO HAI MOHTAAJ KAFAN DEWEGI KYUN KAR
PUCHHE KOI YE DARD ASEERON KE JIGAR SE
HAM RO NAHIN SAKTE TUMHE SHIMR KE DAR SE

TUM SAAMNE BAABAA KE JO FIRDOS ME JAANAA
TUM BAITH KE ZAANU PE MERAA HAAL SUNAANAA
YE MERI ASEERI YE MERAA BALWE ME JAANAA
ZAINAB KI BHI RUDAAD KO BAABAA KO SUNAANAA
PUCHHE JO WOH HAALE ASEERI KE KYAA HAI
KEHDENAA KE RASSI ME GALAA SAB KAA BANDHAA HAI

ABBAAS KI MAI TUMKO QASAM DETI HUN PYAARI
ASGHAR SE AGAR HOWE MULAAQAAT TUMHAARI
LENAA MERI JAANIB SE BALAAEN KA-EEN BAARI
AUR KAHIYO KE DAAI SE KHAFAA KYUN HUWE WAARI
ZAAHIR ME AGAR SHAKL KO DIKHLAA NAHIN SAKTE
KYAA KHWAAB ME BHI GHUTNIYO TUM AA NAHIN SAKTE