MADAD KIJIYE YAA IMAAME ZAMAANAA IMAAME ZAMAANAA
ASIRAANE ULFAT KI RUDAAD SUNLO
DO AALAM KE HAAKIM HO FARIYAAD SUNLO
MUSALSAL SITAM DHAA RAHAA HAI ZAMAANAA
HUWAA YE JAHAAN AAFATON KAA BASERAA
KIDHAR JAAEN YE CHAAR SU HAI ANDHERAA
HAI TAQDIR ME KAB TALAK GHAM UTHAANAA
HAR EK BAZME AALAA SE HAIN AAP AULAA
HAR EK BAAT SE AAP WAAQIF HAI MAULAA
BHALAA RAAZE DIL AAP KO KYAA BATAANAA
HAR EK GAAM TUFAANE RANJ-O BALAA HAI
TUMHE DUKHTARE SHAAH KAA WAASTAA HAI
MUHIBBON KO SADMON SE AB TUM BACHAANAA
AGAR AAP CHAAHE TO SAB KAA BHALAA HO
JO MAKRUZ HAIN KARZ UNKAA ADAA HO
KE HAI AAP KI THOKARON ME KHAZAANAA
QASAM JALTE KHAIMON KI DETAA HUN TUM KO
UJADTI HAI DUNIYAA KHUDAARAA BACHAALO
HAI SHOLO KI ZAD PAR HAR EK AASHIYAANAA
HAMEN KAASH TURBAT ME JAANE SE PEHLE
TUMHE DEKHLE MOUT AANE SE PEHLE
BHALAA ZINDAGI KAA HAI KOI THIKAANAA
ASIRAANE KARBOBALAA KI QASAM HAI
TUMHE DUKHTARE FAATEMAA KI QASAM HAI
JO QAIDI HAI UNKO RIHAAI DILAANAA
KAHIN JAAKE HARGIZ NA TASKIN HOGI
YAQINAN MUHABBAT KI TAUHIN HOGI
KISI AUR KO HAALE DIL KYAA SUNAANAA