YAA IMAAME ZAMAANAA KARAM KIJIYE
NOOR AANKHON KAA MERI BARHAA DIJIYE
GHAIR KE DAR PE KYUN JAAUN FARIYAAD KO
AAP SAR PAR SALAAMAT HAI IMDAAD KO
MAANGNE KAA SALIQAA BATAA DIJIYE
JIS GADI AAP KI DEED HOJAAYEGI
DAR HAQIQAT MERI EID HOJAAYEGI
HAM KO NOOR AAP KAA AB DIKHAA DIJIYE
AAPKI MAD-HA KAISE KAREN YAA IMAAM
HAI YE NABIYON KAA SHEWAA KHUDAA KAA HAI KAAM
HAM KO AADAABE MID-HAT SIKHAA DIJIYE
HAI HASSAN AAP KAA EK ADNAA GHULAAM
DE RAHAA HAI SADAA APKO SUBHO SHAAM
HUR SAA ITNAA MUQAADDAR BANAA DIJIYE
MUNTAZIR HAIN KE KAB HO ZUHUR AAP KAA
SAARE AALAM PE CHHAA JAAYE NUR AAP KAA
HO MUNAWWAAR JAHAAAN AAP JAB HON AYAAN
ZULM SE PUR HUWI DUNIYAA AAJAAIYE
BANKE REHMAT ZAMAANE PE CHHAA JAAIYE
AAP HAI WAARISE REHMATE DO JAHAAN
EK KARAM KI NAZAR HAM PE FARMAAIYE
HAAL ABTAR HAI KUCHH TO REHEM KHAAIYE
AAPKO SAB KHABAR HAI KARE KYAA BAYAAN
HAM TO LABBAIK KEHNE KO TAYYAAR HAIN
PAAS ILM-O SHUJAA-AT KE HATHIYAAR HAIN
KAB TALAK YUN SAHE ZULM AUR SAKHTIYAAN
RAAT DIN YE DUAA-EN HAI LAB PAR NADEEM
HAM KO MILJAAYE DUNIYAA ME RUTBAA AZEEM
HAM SE HI HON SIPAAH-E IMAAME ZAMAAN